Blogger template ko customise kaise karte hain

    Blogger template ko customise kaise karte hain 

      My friends, aaj hum blogger blog ko customise karne ki jaankaari lekar aapki seva me fir hazir hain is article me bataya jayega ki kaise hum apne blog ko customise karke beautiful bana sakte hain

     Blogger template customization 

     Dashboard >> template >> customise >> change colour and font >> Apply to blog

             

                            Read More .....

Powered By Blogger Ko Kaise Remove Kare




'Powered by Blogger' ko kaise remove Kare Is article me bataya gaya hai ki Attribution Widget 'powered by Blogger' ko blogger ke footer se kaise remove ya hide Karte hain becoz powered by blogger ko dekhkar har koi yeh jaan Leta hai ki yeh ek blogspot par banaya gaya blog hai website nahi hai jisse visitors par impression kam ho jata hai 'powered by Blogger' ko hide/remove kar dene se hamara blog website jaisa dikhayi padta hai is article me main aapko Attribution widget 'powered by blogger' ko remove/hide karne ke two popular methods batane jaa raha hun in me se kisi ek ko follow karke aap apne blog ke footer se Attribution 'powered by Blogger' ko hide/remove kar sakte hain

Powered By Blogger Kya Hai 


Powered by blogger ka matlab hai ki aapka blog blogspot blog hai jo blogger.com par banaya gaya hai blogger.com free plateform hai jaha par koi bhi free blog create kar sakta hai but blogger ki partiyek theme mein sabse niche footer mein Powered By Blogger likha hota hai jisse visitors ko pata chal jata hai ki yeh google ka free plateform blogger.com hai isse hamare blog par visit karne wale visitors par achha prabhav nhi padta hai



Method 1: Remove 'Powered by Blogger' By Unlocking Attribution Widget


Apne blog ke dashboard me pahunchkar layout par click kijiye scroll down karke footer attribution me edit par click kijiye


Edit par click karte hi ek dusri window aapke samne open ho jaayegi is window me aap dekhenge ki remove button dikhayi nahi pad raha hai it means Yeh Attribution widget abhi locked hai


hamen Yahan par remove button activate karne ke liye is attribution widget ko unlocked karna hoga

Attribution Widget ko unlocked kaise kare 

Apne blog ke dashboard me theme(template) par click kijiye iske baad Edit HTML par click kijiye click karte hi HTML code open ho jaayega


Jump to widget par click kijiye iske baad Attribution1 par click kijiye



Click karte hi aap HTML code me Attribution1 par pahunch jaayenge
Aap search box open karke bhi Attrition1 par pahunch sakte hain HTML code me kahin par click kijiye aur ctrl+f button press kijiye search box open ho jaayega search box me Attribution1 type kijiye aur enter kar dijiye aap Attribution widget par pahunch jaayenge upar screenshot dekhye showaddelement='no' ko showaddelement='yes' kar dijiye aur locked='true' ko locked='false' se replace kar dijiye and save template par click kar dijiye
Ab layout par click kijiye iske baad footer attribution par click kijiye ab aap dekhenge ki additional option remove button show ho raha hai


Remove button par click kar dijiye iske baad Save Arrangements par click kar dijiye Ab aapke blog se footer Attribution widget 'Powered by Blogger' remove ho chuka hai

Method 2 -Remove 'Powered by Blogger' by Adding CSS Code


Dashboard >> Theme >> Edit HTML par click karne ke baad ctrl+f press karke code body{ 
search kijiye



Jab yeh code mil jaaye is code ke theek upar (just above) yeh code paste kar dijiye
#Attribution1 {display: none;}'


Finally Save Template par click kar dijiye

Ab aapke blog se 'Powered by Blogger' Attribution remove ho chuka hai agar aapne custom template purchase ki hui hai to main aapko suggest karna chaahunga ki 'Powered by Blogger' ko remove karne ki processing start karne se pehle apne blogger template ko backup karke download kar Lena chaahiye so that HTML cod ki editing karte samay yadi koi mistake ho jaye to aap ise dobara restore kar sake

   Is parkar in do tarikon se hum 'Powered by Blogger' attribution widget ko saralta se remove kar sakte hain


Related posts 

Post ke url ko search me lane ke liye fast index kaise kare 

Free new website kaise banate hain full guidance

Blog ko Google Plus profile se kaise jodte hain

Ek post me dusri post ka URL link kaise add karte hain 

Parmalink kaise banaye parmalink kaise create karte hain


Aaj hum baat lagenge parmalink ke bare me parmalink kya hota hai ? Parmalink kaise create karte hain aur parmalink ko seo friendly kaise banaya ja sakta hai parmalink do parkar ka hota hai Automatic Parmalink aur Custom Parmalink. Custom Parmalink ka use karke hum post ke URL ko short kar sakte hain post ke URL ko manually set kar sakte hain aur seo friendly bana sakte hain 

Parmalink kya hota hai 

My dear friends, parmalink permanent link hota hai ise hindi me sthai link bolte hain parmalink us content ya Post ka full URL hota hai jise aap kisi website ya blog me dekhte ya read karte hain ya apne blog ya website me likhte hain.

Blogspot Parmalink Structure 

Parmalink me domain name(jaise-webearningpoints.com) shamil hota hai iske baad date aur slug hota hai slug kisi post ke url ka voh bhag hota hai jo domain name ke baad aata hai Isme date bhi include hoti hai

For Example :-

http://webearningpoints.com/2017/12/free-blog-website-kaise-banaye.html?m=1


Parmalink should be SEO friendly 

Parmalink aapki site ka important part hota hai search engines aur Visitors isi parmalink url ko index karke aapki site par visit karte hain parmalink ko SEO friendly banane ke liye zyada Long na banaye short banaye aur simple banaye so that search engine aur visitors aapki site par aasaani se visit kar saken. apne URLs me ye words (a, an, the, of, are, have )ka use na Kare to better hai becoz in words ki aapke URLs me koi value nahi hoti hai. Apne URLs ko utna short rakhen jitna aap rakh sakte hain because short URLs more focused hote hain.

Custom Parmalink SEO ke liye kyon better hai

Blogger blog mein custom parmalink ka option hota hai jiska use karke hum post ke URL ko short kar sakte hain aur parmalink ko seo friendly bana sakte hain short parmalink ko visitors asani se type karke search kar sakte hain isse old visitors ke site par return karne ki posibility increase hoti hai Parmalink create karte time yeh dhyan rahe ki post link ke words post title se match karte ho post link ke words post title se different hone par google ki ranking kam hoti hai 

Blogspot par parmalink kaise banaye 

Apne blog par dashboard ke post editor me jahan par aap article likhte hain uske right hand side me post settings par click kijiye post settings par click karte hi aapke samne ek drop down list show ho jaayegi niche screenshot dekhye.


Post settings me parmalink ke sign par click kar dijiye Apke saamne 2 parkar ke parmalink show ho jaayenge 

  1. Automatic Parmalink 
  2. Custom Parmalink 

Automatic Parmalink 

Automatic Parmalink apne aap generate ho jata hai usme aapko kuchh karne ki zarurat nahi hoti hai jaisa ki upar screenshot me dikhaya gaya hai

Custom Parmalink 

Google ne custom parmalink ki service isliye shuru ki hai jisse post ke URL ko seo friendly banaya ja sake SEO purpose ke liye custom parmalink bahut important hota hai custom parmalink ke radio button par click karte hi link editor box open ho jata hai aap is box me post ke title se keywords lekar custom parmalink create kar sakte hain 

Custom Parmalink kaise banaye 

Jab aap apne blog me koi post likh chuke hote hain to is post ko likhne ke baad parmalink banane ki baari aati hai post editor me right hand side me post settings par click kijiye jaisa ki niche screenshot me dikhaya gaya hai
Post settings par click karne ke baad parmalink par click kijiye direct parmalink ke sign
parbhi click kar sakte hain upar screenshot dekhye 
Upar dikhaye gaye screenshot ke according Automatic parmalink par click nahi karna hai Custom parmalink ke radio button par click kijiye radio button par click karte hi link editor box open ho jaayega is editor box me Simple URL create kijiye parmalink long nahi hona chaahiye parmalink ko jahan tak ho sake short likhiye do Shabdon ke beech me hyphen use Kare space nahi dena hai jaisa ki editor box me dikhaya gaya hai parmalink type karne ke baad Done par click kar dijiye Iske baad save par click kar dijiye 
  • Post URL mein use hone wale words ke beech "-" zarur use kare 
  • Parmalink create karte time dhyan rahe URL mein (a-z) hi use kare (A-Z) use bilkul na kare 
  • Agar zaruri ho to hi (0-1) use kare otherwise inka use na karna hi better hai 

Is post se related agar koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain ya koi sujhav dena chaahte hain to zarur dijiye 


Related Posts 

   


    





Blogger Template Ko Customise Kaise Karte Hain Full Guidance



Blogger template ko customise kaise karte hain full guidance 

Dear friends is post me main aapko blogspot blog ki template ko customise karne ka tarika batane jaa raha hun. Template ko customise karne ka arth hum is Parkar samajh sakte hain jaise kisi makan me rang rogan lipai  putai etc karwana jis se makan khubsurat lagta hai aur jo use ek baar dekh Leta hai voh use baar baar dekhna chahta hai. isi parkar blog ki template ko bhi customise karke adhik khubsurat banaya jaa sakta hai. Agar blog khubsurat hoga to readers ko achchha lagega aur readers us par baar baar aana pasand karenge jisse blog ki traffic badhegi to aaiye jante hain blogger template ko customise kaise karte hain

Blogger template ko customise kaise kare 


  • Sabse pehle apni ID se log in karke apne blog ka dashboard open open Kare 
  • Dashboard ki left side me template(theme) par click kijiye 

Template par click karte hi aapke samne two options aayenge 
    

  • Customise 
  • Edit HTML


Ab aap customise par click kar dijiye
 
Customise par click karte hi theme(template) designer open ho jaayega 

Theme Designer open karne ka dusra tarika 

 Dashboard me pahunchkar layout par click kijiye

 Iske baad Theme Designer par click kar dijiye
 Ab aap Theme Designer par pahunch jaayenge
 Theme Designer ka screenshot dekhye

Theme :-

Theme Designer me Sabse pehle theme option diya gaya hai is option ke dwara aap apne blog ki template yaani theme change kar sakte hain. 

Background :-

Is option ke dwara aap apne blog ki background ke liye koi picture ya image select kar sakte hain isi option ke dwara aap apne blog ka background colour bhi change kar sakte  hain.

Adjust Widths :-

Yahan par aap apne blog aur sidebar ki width apni ichchhanusar kam ya adhik kar sakte hain 

Layout :-

Is option me aap body layout aur footer layout ko apni ichchhanusar select kar sakte hain body layout me se single ya two ya three columns side bar wali layout select kar sakte hain isi parkar footer layout me se single, two ya three columns footer wali layout select kar sakte hain

Advanced :-

Advanced customisation me many options hote hain in options ka use karke ham apne blog ko more beautiful bana sakte hain.

  • Page : is option me aap apne blog ke page text ka font change kar sakte hain page ka background colour change kar sakte hain aur text colour change kar sakte hain 
  • Links : Isme 3 parkar ke colour options hote hain link colour, visited colour and hover colour inko aap apni ichchhanusar change kar sakte hain
  • Blog Title :  Isme bhi three options hote hain Title Font, Title Colour and header background. Title font me aap apne blog ke title ka font change kar sakte hain title colour me title ka colour change kar sakte hain aur header background me header colour change kar sakte hain 
  • Blog Description : Aap apne blog title ke niche jo description dalte hain is option me aap us description ka font aur colour change kar sakte hain 
  • Tabs text : is option ke dwara aap blog ke navigation menu bar ke font aur text colour change kar sakte hain. Navigation menu bar blog me sabse upar hota hai     
  • Tabs Background : Is option ke dwara hum Navigation menu ke tabs ka background colour change kar sakte hain aur border colour change kar sakte hain 
  • Date Header : Is option ke dwara aap Date Header me likhi hui date ka font aur colour change kar sakte hain aur background colour change kar sakte hain 
  • Post title : Isme blog me likhi hui post ke title ka font change kar sakte hain aur text colour change kar sakte hain 
  • Post background : Is option me post background colour change kar sakte hain border colour change kar sakte aur bevel colour change kar sakte hain
  • Gadget Title : Sidebar me jo gadgets hote hain is option me un gadgets ke titles(About Me, Archive etc.)  ka font change kar sakte hain aur colour change kar sakte hain
  • Gadget text : Gadgets ka text colour change kar sakte hain font change kar sakte hain aur alternative colour change kar sakte hain
  • Gadget Links : Gadgets me jo links hote hain unka colour  change kar sakte hain visit colour change kar sakte hain aur hover colour change kar sakte hain
  • Gadget Background : Gadgets ka background colour change kar sakte hain  border colour change kar sakte hain aur bevel colour change kar sakte hain 
  • Sidebar Background : is option me sidebar ka background colour change kar sakte hain
  • Images : is option ke dwara post me upload ki Jane wali images ka background colour change kar sakte hain aur border colour change kar sakte hain
  •  Footer : is option me aap author, label, social media text aur dates ka text colour change kar sakte hain background colour change kar sakte hain aur shadow colour change kar sakte hain
  • Mobile Button Colour : Is option ke dwara hum mobile template me mobile Button colour change kar sakte hain
  • Add CCS : Is option ke dwara hum custom css cod use karke blog template ki design change kar sakte hain
Is parkar blogspot template ko hum apni ichchhanusar customise kar sakte hain  aur apne blog ko ek achchha look de sakte hain fir bhi agar ye design aapko pasand nahi aa raha hai to aap apni pasand ki custom template purchase kar sakte hain