Parmalink kaise banaye parmalink kaise create karte hain


Aaj hum baat lagenge parmalink ke bare me parmalink kya hota hai ? Parmalink kaise create karte hain aur parmalink ko seo friendly kaise banaya ja sakta hai parmalink do parkar ka hota hai Automatic Parmalink aur Custom Parmalink. Custom Parmalink ka use karke hum post ke URL ko short kar sakte hain post ke URL ko manually set kar sakte hain aur seo friendly bana sakte hain 

Parmalink kya hota hai 

My dear friends, parmalink permanent link hota hai ise hindi me sthai link bolte hain parmalink us content ya Post ka full URL hota hai jise aap kisi website ya blog me dekhte ya read karte hain ya apne blog ya website me likhte hain.

Blogspot Parmalink Structure 

Parmalink me domain name(jaise-webearningpoints.com) shamil hota hai iske baad date aur slug hota hai slug kisi post ke url ka voh bhag hota hai jo domain name ke baad aata hai Isme date bhi include hoti hai

For Example :-

http://webearningpoints.com/2017/12/free-blog-website-kaise-banaye.html?m=1


Parmalink should be SEO friendly 

Parmalink aapki site ka important part hota hai search engines aur Visitors isi parmalink url ko index karke aapki site par visit karte hain parmalink ko SEO friendly banane ke liye zyada Long na banaye short banaye aur simple banaye so that search engine aur visitors aapki site par aasaani se visit kar saken. apne URLs me ye words (a, an, the, of, are, have )ka use na Kare to better hai becoz in words ki aapke URLs me koi value nahi hoti hai. Apne URLs ko utna short rakhen jitna aap rakh sakte hain because short URLs more focused hote hain.

Custom Parmalink SEO ke liye kyon better hai

Blogger blog mein custom parmalink ka option hota hai jiska use karke hum post ke URL ko short kar sakte hain aur parmalink ko seo friendly bana sakte hain short parmalink ko visitors asani se type karke search kar sakte hain isse old visitors ke site par return karne ki posibility increase hoti hai Parmalink create karte time yeh dhyan rahe ki post link ke words post title se match karte ho post link ke words post title se different hone par google ki ranking kam hoti hai 

Blogspot par parmalink kaise banaye 

Apne blog par dashboard ke post editor me jahan par aap article likhte hain uske right hand side me post settings par click kijiye post settings par click karte hi aapke samne ek drop down list show ho jaayegi niche screenshot dekhye.


Post settings me parmalink ke sign par click kar dijiye Apke saamne 2 parkar ke parmalink show ho jaayenge 

  1. Automatic Parmalink 
  2. Custom Parmalink 

Automatic Parmalink 

Automatic Parmalink apne aap generate ho jata hai usme aapko kuchh karne ki zarurat nahi hoti hai jaisa ki upar screenshot me dikhaya gaya hai

Custom Parmalink 

Google ne custom parmalink ki service isliye shuru ki hai jisse post ke URL ko seo friendly banaya ja sake SEO purpose ke liye custom parmalink bahut important hota hai custom parmalink ke radio button par click karte hi link editor box open ho jata hai aap is box me post ke title se keywords lekar custom parmalink create kar sakte hain 

Custom Parmalink kaise banaye 

Jab aap apne blog me koi post likh chuke hote hain to is post ko likhne ke baad parmalink banane ki baari aati hai post editor me right hand side me post settings par click kijiye jaisa ki niche screenshot me dikhaya gaya hai
Post settings par click karne ke baad parmalink par click kijiye direct parmalink ke sign
parbhi click kar sakte hain upar screenshot dekhye 
Upar dikhaye gaye screenshot ke according Automatic parmalink par click nahi karna hai Custom parmalink ke radio button par click kijiye radio button par click karte hi link editor box open ho jaayega is editor box me Simple URL create kijiye parmalink long nahi hona chaahiye parmalink ko jahan tak ho sake short likhiye do Shabdon ke beech me hyphen use Kare space nahi dena hai jaisa ki editor box me dikhaya gaya hai parmalink type karne ke baad Done par click kar dijiye Iske baad save par click kar dijiye 
  • Post URL mein use hone wale words ke beech "-" zarur use kare 
  • Parmalink create karte time dhyan rahe URL mein (a-z) hi use kare (A-Z) use bilkul na kare 
  • Agar zaruri ho to hi (0-1) use kare otherwise inka use na karna hi better hai 

Is post se related agar koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain ya koi sujhav dena chaahte hain to zarur dijiye 


Related Posts 

   


    





1 comment:

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।