Powered by blogger ka matlab hai ki aapka blog blogspot blog hai jo blogger.com par banaya gaya hai blogger.com free plateform hai jaha par koi bhi free blog create kar sakta hai but blogger ki partiyek theme mein sabse niche footer mein Powered By Blogger likha hota hai jisse visitors ko pata chal jata hai ki yeh google ka free plateform blogger.com hai isse hamare blog par visit karne wale visitors par achha prabhav nhi padta hai
Method 1: Remove 'Powered by Blogger' By Unlocking Attribution Widget
Apne blog ke dashboard me pahunchkar layout par click kijiye scroll down karke footer attribution me edit par click kijiye
Edit par click karte hi ek dusri window aapke samne open ho jaayegi is window me aap dekhenge ki remove button dikhayi nahi pad raha hai it means Yeh Attribution widget abhi locked hai
hamen Yahan par remove button activate karne ke liye is attribution widget ko unlocked karna hoga
Attribution Widget ko unlocked kaise kare
Apne blog ke dashboard me theme(template) par click kijiye iske baad Edit HTML par click kijiye click karte hi HTML code open ho jaayega
Jump to widget par click kijiye iske baad Attribution1 par click kijiye
Click karte hi aap HTML code me Attribution1 par pahunch jaayenge
Aap search box open karke bhi Attrition1 par pahunch sakte hain HTML code me kahin par click kijiye aur ctrl+f button press kijiye search box open ho jaayega search box me Attribution1 type kijiye aur enter kar dijiye aap Attribution widget par pahunch jaayenge upar screenshot dekhye showaddelement='no' ko showaddelement='yes' kar dijiye aur locked='true' ko locked='false' se replace kar dijiye and save template par click kar dijiye
Ab layout par click kijiye iske baad footer attribution par click kijiye ab aap dekhenge ki additional option remove button show ho raha hai
Remove button par click kar dijiye iske baad Save Arrangements par click kar dijiye Ab aapke blog se footer Attribution widget 'Powered by Blogger' remove ho chuka hai
Method 2 -Remove 'Powered by Blogger' by Adding CSS Code
Dashboard >> Theme >> Edit HTML par click karne ke baad ctrl+f press karke code body{
search kijiye
Jab yeh code mil jaaye is code ke theek upar (just above) yeh code paste kar dijiye
#Attribution1 {display: none;}'
Finally Save Template par click kar dijiye
Ab aapke blog se 'Powered by Blogger' Attribution remove ho chuka hai agar aapne custom template purchase ki hui hai to main aapko suggest karna chaahunga ki 'Powered by Blogger' ko remove karne ki processing start karne se pehle apne blogger template ko backup karke download kar Lena chaahiye so that HTML cod ki editing karte samay yadi koi mistake ho jaye to aap ise dobara restore kar sake
Is parkar in do tarikon se hum 'Powered by Blogger' attribution widget ko saralta se remove kar sakte hain
Related posts
Post ke url ko search me lane ke liye fast index kaise kare
Free new website kaise banate hain full guidance
Blog ko Google Plus profile se kaise jodte hain
Ek post me dusri post ka URL link kaise add karte hain