Google Plus se blogger blog ko kaise jodte hain
Google+ ya google Plus google ka social network hai. Is article me aaj hum google+ ke baare me discuss karenge aur saath hi saath yeh bhi charcha karenge ki google Plus me blogger blog ko kaise add karte hain to aaiye Sabse pehle jaante hain ki google+ kya hota hai
What is Google Plus
Pehle bhi bataya ja chuka hai ki google+ google ka social network hota hai. World me jo bade bade social network mane jaate hain hain Google Plus unme se ek hai but hum facebook aur twitter par zyada dhyan dete hain jabki google+ me kuchh features hain jo anye kisi bhi social network me nahi hain
Google+ June 2011 me test karne ke liye kuchh users ke liye hi open kiya gaya tha. April 2012 me google Plus sab ke liye open kar diya gaya. Agar hum google ki kuchh services jaise gmail, utube, maps, hangouts, blog, etc. ko pehle se use kar rahe hain to google Plus par hum in use ki jaane wali services ko social bana sakte hain.
Agar aap ek blogger hain aur aapne blogspot par blog banaya hua hai tab to google Plus par account banana aur apne blog ko google+ se link karna aapke liye bahut zaruri hai becoz blog ko google+ se link karne par aapke blog par visitors ki sankhya increase ho jaayegi
Bloggers Ke liye Google Plus Kyon Zaruri Hai
Google Plus profile ka sabse bada benefit yeh hota hai isse organic traffic barh jata hai aur Google Plus profile se aap apne blog ki search ranking improve kar sakte hain Google Plus google ka social media hai yeh blog ki seo ke liye bahut zaruri hai aur yeh sirf social media hi nhi hai balki yeh seo influencer ki tarah work karta hai Sabhi bloggers apne blog par organic traffic chahte hain isliye sabhi bloggers ko chahiye ki voh traffic barhane ke liye aur apne blog ki search ranking improve karne ke liye Google Plus profile par apne blog ki every post ko share kare
Google+ me Blog ko kaise add karte hain
Google+ se Blog ko kaise jodte hain main aapko step by step bata raha hun aap niche likhe rules follow kijiye
Step-1
First of all google+ me apne gmail account se log in kijiye Iske baad left hand side me menu par click kijiye aur drop down list me profile par click kijiye
Profile par click karne ke baad adit profile par click kijiye Iske baad details ke icon par click kijiye
Step-2
Details ke icon par click karte hi dusri window open ho jayegi Is window me ➕ ke icon par click kar dijiye
Step-3
Plus ke icon par click karne ke baad dusra page open ho jaayega yahan par aapko bahut se option nazar aayenge in options me aapko sites par click karna hai
Step-4
Sites par click karte hi aapke samne ek aisi window open ho jaayegi jaisa niche screenshot dikhaya gaya hai
Title
Google+ se jis website ya blog ko aap jodna chaahte hain uska name Title me likhiye jaise mere blog ka name hai web earning points
URL
Jahan par URL likha hua hai vahan par apne blog ya website ka URL likhiye jaise mere blog ka URL hai webearningpoints.com
Ab aapke blog ya website ka link google Plus se ho chuka hai agar aap check Karna chaahte hain to apne blog ke dashboard me kisi published Post ke view par click kijiye aur footer me google Plus ke icon par click karke check kar sakte hain
Google+ se Blog ya website ko link karne wali yeh post I hope aapko pasand aayi hogi agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain
No comments:
Post a Comment
Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।