Gmail Account banaye to kaise banaye




Gmail Account Kaise Banate Hain Is article me gmail ID create karne ke tutorial points bataye gaye hain gmail account kaise banate hain yeh janne se pehle hame yeh jaan lena chaahiye ki Gmail Account kehte kise hain kaise banaye gmail 

Gmail ID Kya Hai gmail id kaise banaye 

Gmail Google dwara provided ek email service hai iske dwara aap text, images, documents etc. kisi dusre person ko send kar sakte hain aur dusre parson dwara send ki gaee mail ko receive kar sakte hain moreover Gmail Account ek free Google Account hota hai yeh  google dwara provided ek web based email account hai yeh ek aisa email address hai jo @gmail.com ke saath samapt hota hai

Gmail ID kyon banaye

Aaj ka yug Internet ka yug hai aaj world me bahut saare kaam internet ke dwara kiye jaate hain aur inhein pure karne ke liye email ID ki aavashyakta hoti hai aap service ke liye koi form dalna chaahte hain to email ID chaahiye whatsapp aur facebook chalana chaahte hain to email ID chaahiye bank account online karana chaahte hain to email ID chaahiye online business karna chaahte hain to email ID chaahiye inke atirikt aur bhi bahut saare kaam aise hain jinhein pura karne ke liye email account must hota hai

Google par Email(Gmail) Account kaise banate hain 

Google par apni email(gmail) ID banane ke liye Sabse pehle aap apne computer, laptop ya Android phone ke kisi browser me entry kijiye suppose that aap chrome browser me entry kar lete hain Search box me 'create a gmail account' type karke search kijiye

1-  Search result mein Create a gmail account par click kijiye

2-  Name section mein apna first name aur last name enter kijiye

3-  Choose Your Username ke antargat apni ichhanusar username type kijiye
     Apka email gmail address apka username hi hota hai jo @gmail.com sath milkar       complete hota hai for instance, agar aap apna username example choose karte ho to apka email gmail address example@gmail.com hoga

4-  Apne gmail account ke liye ek password enter kijiye jisme 8 ya 8+ character hone chahiye password aisa ho jise koi guess na kar sake means jiska koi andaza na laga sake

5-  Confirm Password mein bhi same vohi password type kijiye jo apne pehle likha hai apne account ki security ke liye baad mein aap Two Factor Authentication enable kar sakte ho

6-  Click Next..



7-  Ab apse kaha jayega Verify Your Phone Number apna mobile phone number enter kijiye aur koi dusra email address dijiye yeh information google apki privacy ke protection ke liye use karta hai aur lost password ki recovery ke liye use karta hai

8-  Phone number ko verify karne ke liye google dwara ek 6-digit code apke number par send kiya jayega is code ko enter kar dijiye

9-  Apni birth date aur gender enter kar dijiye

10-  Click Next..

11-  Next par click karte hi dusra page open ho jayega  privacy and terms read kijiye aur I Agree par click kar dijiye


Note -  yadi aap privacy and terms ke liye I Agree par click nhi karte ho to aap gmail account create nhi kar paoge

I Agree par click karte hi aapka gmail address create ho jayega ab aap sign in kijiye aur apni personal information manage kijiye



I hope yeh article 'Gmail ID kaise banaye' aapko pasand aaya hoga agar Gmail Account se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain


Related Posts 

 
Gmail account ko kaise delete karte hain  

Blogspot par blog kaise banate hain full guidance

Ek post me dusri post ka URL link kaise add karte hain

Blogger template ko customise kaise karte hain

More Posts  

 
   

    

    


5 comments:

  1. hello bhai mera bhi blog blogspot par hi hai but ye samjh lo ki jitne bhi log blogspot par blogging kar rahe hain sirf apna samay barbad kar rahe hain aur kuch nahi isliye blogspot ko chhodo aur wordpress par chalo, aisa nahi ki main ye yun hi kah raha hoon ye mera 1.5+ year ka experience hai maine blogspot par sirf time hi barbad kiya hai. iska pata mujhe tab chala jab maine apna wordpress blog banaya .

    ReplyDelete
  2. anandkumar09271@gmail.com

    ReplyDelete

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।