Gmail Account Ko Delete kaise kare ka tarika



Gmail account permanently delete karne ka tarika kya hai hum apne gmail account ko hamesha ke liye kaise band kar sakte hain agar aap is sawal ka jawab search kar rahe ho to yeh posts aapke hi ke liye hai is post ko shuru se akhir tak read kijiye apko pata chal jayega gmail account ko permanently kaise delete karte hain gmail account ko permanently delete karna itna hi aasan kaam hai jitna google par gmail account create karna aasan hai yes



Yadi aapne Gmail Account create kiya hai aur aap kisi karan se apne is Gmail Account ko Delete karna chaahte hain to is post ko read kijiye aapko pata chal jaayega Gmail Account ko Delete karna kitna aasaan hai Yahan par aapke man mein yeh sawal utpann ho sakta hai ki aakhir Gmail Account ko delete karte kyon hain mostly aisa hota hai ki ek hi admi bahut se Account create kar leta hai unme se kaee account aise hote hain jinko voh use nahi karta jin accounts ka use nahi kiya ja raha hai aise accounts ko delete kar dena hi better hai becoz jin accounts ko hum use nahi karte hain unko kisi hacker dwara misuse bhi kiya ja sakta hai

Google ki bahut sari services hain google ya gmail par email ID banakar hum in sabhi services ka use kar sakte hain ye services is parkar hain - Gmail, Drive, Photo, Docs, Sheets, Forms, Adsense, Playstore,  Keep, Google Plus, You Tube, Maps, Blogger, Calender, News, Books, Hangouts, Classrooms, My Business, Earth, Jamboard, Collections, Slides, Drawing, and Contacts etc ye sab google ki behtreen services hai
Kabhi kabhi aisa hota hai kuchh log bahut sari gmail ID crete kar lete hain aur unme se sirf 2 ya 3 ko hi use karte hain baki extra ko kabhi use nhi karte jab unhen pata chalta hai ki extra gmail ID ko hack karke unka misuse bhi kya ja sakta hai tab vo preshani mein pad jate hain aur in extra IDs ko delete karna chahte hain
Extra IDs ko delete kar dena hi better hai kyonki in IDs par aksar dhyan nhi jata hai aur koi bhi hacker inhen asani se hack karke misuse kar sakta hai jisse apko preshani ka samna karna pad sakta hai so is tarah ki IDs ko delete kar dena chahiye yeh janne ke liye ki gmail ID ko permanently delete kaise karte hain diye gaye steps follow kijiye

Gmail Account ko delete karne se kya kya delete hota hai 

Abhi upar maine google ki bahut sari services ka zikr kiya hai jinka use hum gmail account create karke kar sakte hain aur yadi Kisi karanvash hum account ko delete karte hain to is account se connected google ki sabhi services apne aap delete ho jayengi to aaiye jante hai gmail account ko delete karne par google ki kon kon si services delete hoti hain


  • Google drive mein save kiye hue sabhi documents, files, photos, videos etc. sabhi delete ho hojate hin
  • Google Photos mein upload sabhi photos aur videos delete ho jate hain
  • Gmail ke folders (Inbox, Draft, All mails, Delete, Trash etc.) mein available sabhi emails delete ho jate hain
  • Google advertising company means Google Adsense ko account jo income ka sabse achha sadhan hai delete ho jata hai
  • Agar aapne You Tube par koi channel banaya hua hai to gmail account delete karne par voh channel bhi delete ho jata hai
  • Gmail account mein save hamare friends aur relatives ke email addresses aur phone numbers delete ho jate hain
  • Blogspot par banaye gaye sabhi blogs and websites delete ho jate hain
  • Gmail account ko delete karne par Google Plus profile, search console account aur Analytics account bhi delete ho jata hai

Gmail Account ko permanently delete kaise karte hain 

Extra gmail accounts ko delete karna kuchh bhi mushkil nhi hai aap aasani se kisi bhi gmail account ko delete kar sakte hain Iske liye aapko niche diye gaye kuchh steps follow karne honge pehle username aur password dalkar apne account mein sign in kar lijiye 

Step-1 

Google apps mein Account par click kijiye 





  1. Screenshot ke according google apps icon(nine dotted sign)  par click kar dijiye isse screen par google apps ke bahut se icon show hone lagenge 
  2. Inme se aapko Account  par click karna hai 

Step-2 

Click on Data and Personlisation

  1. Account par click karte hi next page open ho jayega is page mein aap Data and Personalization ke option par click kijiye 
  2. Iske baad Delete a service or your account ke option par click kijiye 
Delete a service or your account par click karte hi next page open ho jayega is page par aapko kai options nazar ayenge jaise Delete a google service, Delete your google account, Download Your Data, Make a Plan for your Account etc. 

Step-3

Click on Delete Your Account  

Delete your account option par click kar dijiye click karte hi next page open ho jayega jisme aapse aapke us account ka password manga jayega jise aap delete karna chahte hain us account ka password dalkar sign in kar dijiye 

Step-4

Enter a verification code  


Password dalne par next page open ho jayega aur aapse 6-digit verification code enter karne ke liye kaha jayega yeh verification code google ki taraf se aapke us mobile number par send kiya jayega jo aapne yeh account banane ke liye use kiya tha yaha par yeh 6-digit verification code enter karke Done par click kar dijiye 

Step-5 

 

DELETE ACCOUNT option choose karne se pehle DOWNLOAD DATA par click karke aap apne data ka back up le sakte hain Iske baad aap finally DELETE ACCOUNT par click kar dijiye 

       


    

Upar  dikhae gaye screenshot ke according pehle check boxes ☑ par click kar dijiye Iske baad finally DLETE ACCOUNT par click kar dijiye click karte hi aapka account permanently delete ho jayega 
I hope gmail account delete karne ke bare me yeh post aapko pasand aayi hogi  Agar is postse related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain




Related Posts 








No comments:

Post a Comment

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।