Google blogger plateform apne users ko seo ke liye ek bahot hi important option pardan karta hai voh option hai search description jo hamari blog post se related hota hai search description dono ke liye important hota hai search engine ke liye bhi aur visitors ke liye bhi Search description add karne se ran barh jati hai aur agar hum description add nhi karte hain to search engine hamari post ke start ke 150 words mein se kuchh words lekar search result me show kar deta hai
SEO k liye search description box kaise enable kare full guidance
Dear bloggers blog k dashboard me post editor me jahan par aap article likhte hain vahan par right side me search description box show hota hai but yeh description box pehle se show nahi hota hai balki use enable karna padta hai ab sawal yeh utpann hota hai ki search description box ko enable kare kaise ? Aaiye mein aapko batata hoon ki search description box kaise enable karte hain. Yaad rahe advanced SEO ke liye search description bahut helpful hota hai search description box enable karne se pehle me bataana chaahunga ki search description hota kya hai to aaiye jante hain
What is search description
Blog ko SEO friendly banane ke liye search description box set karna ek zaruri step hai Jab ham google me search karte hain to search results me every post ke niche 3 - 4 lines likhi hui hoti hain in lines me post ke bare me short me jaankaari di hui hoti hai jise padhkar readers ko pata chal jata hai ki is post me kis type ki jaankaari di gaee hai. Post ke bare me briefly di gaee is jaankaari ko hi description kaha jata hai. Isme adhik se adhik 150 words likhe ja sakte hain. Jab ham kisi post ko whats app ya facebook par share karte hain to yehi description likha hua aataa hai
Agar search description box enable na kiya jaaye aur post ke liye description na likha jaaye to google search engine aapki post me se hi kuchh words ya kuchh lines choose karke search result me show kar deta hai
SEO ke liye search description box kaise enable karte hain
First of all aap yeh screenshot dekhye
Iske baad Save template par click kar dijiye
I hope yeh article aapke liye kafi helpful sabit hoga agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain
Blog me post editor me jahan par aap koi post likh rahe hote hain ya pehle se hi koi post likhi hui hoti hai uske right hand side me post settings ka option hota hai us par click karte hi ek aisi drop down list show hoti hai jaisa upar screenshot dekahya gaya hai but is drop down list me search description kahin par bhi dikhayi nahi pad raha hai. Dikhayi isliye nahi pad raha hai kyonki isme abhi tak search description box enable nahi kiya gaya hai.Search description box enable kaise karte hain aaiye jante hain step by step
Step-1
- 1- Apne blog ke dashboard me pahunchkar settings par click kijiye
- 2- Settings par click karne ke baad Search preferences par click kijiye.
- 3- Iske baad Meta tags wale option me Description ke saamne Edit par click kar dijiye
Edit par click karte hi ek description box open ho jaayega niche screenshot dekhye
Step-2
- Enable search description ke saamne Yes par click kijiye
- Iske baad Save changes par click kar dijiye
Ab aapke blog me search description box enable ho chuka hai
Yeh screenshot dekhye
Agar upar ke steps complete karne ke baad bhi aapke post editor ke right side me search description ka option nahi aa raha hai to samajh lijiye aapke blog ki template different hai ab aapko is template me ek Chhota sa cod add karna hoga
Agar post editor me search description ka option nahi aa raha hai to kya kare
Apne blog ke dashboard me jaaiye template (theme) par click karke Edit HTML me pahunch jaaiye Ab cod box me kahin par click karke ctrl+f press kijiye aur <head >search kijiye
<head > ke niche yeh cod paste kar dijiye
<b:if
cond=data:blog.metaDescription !='''''>
<meta
expr:content='data:blog.metaDescription'
name='description'/>
<?b:if>
cond=data:blog.metaDescription !='''''>
<meta
expr:content='data:blog.metaDescription'
name='description'/>
<?b:if>
Iske baad Save template par click kar dijiye
Search Description Kyon Zaruri Hai
Internet par jab koi search karta hai to search result mein post ka title aur description nazar aata hai is description mein adhiktam 150 words likhe ja sakte hain Agar in 150 words mein ya 2-3 lines mein aapne yeh bata diya ki is post mein kya hai to ummid hai aapke blog ki traffic barh jayegi
I hope yeh article aapke liye kafi helpful sabit hoga agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain