Blogger template ko customise kaise karte hain full guidance
Dear friends is post me main aapko blogspot blog ki template ko customise karne ka tarika batane jaa raha hun. Template ko customise karne ka arth hum is Parkar samajh sakte hain jaise kisi makan me rang rogan lipai putai etc karwana jis se makan khubsurat lagta hai aur jo use ek baar dekh Leta hai voh use baar baar dekhna chahta hai. isi parkar blog ki template ko bhi customise karke adhik khubsurat banaya jaa sakta hai. Agar blog khubsurat hoga to readers ko achchha lagega aur readers us par baar baar aana pasand karenge jisse blog ki traffic badhegi to aaiye jante hain blogger template ko customise kaise karte hain
Blogger template ko customise kaise kare
- Sabse pehle apni ID se log in karke apne blog ka dashboard open open Kare
- Dashboard ki left side me template(theme) par click kijiye
Template par click karte hi aapke samne two options aayenge
- Customise
- Edit HTML
Ab aap customise par click kar dijiye
Customise par click karte hi theme(template) designer open ho jaayega
Customise par click karte hi theme(template) designer open ho jaayega
Theme Designer open karne ka dusra tarika
Iske baad Theme Designer par click kar dijiye
Ab aap Theme Designer par pahunch jaayenge
Theme Designer ka screenshot dekhye
Ab aap Theme Designer par pahunch jaayenge
Theme Designer ka screenshot dekhye
Theme :-
Theme Designer me Sabse pehle theme option diya gaya hai is option ke dwara aap apne blog ki template yaani theme change kar sakte hain.
Background :-
Is option ke dwara aap apne blog ki background ke liye koi picture ya image select kar sakte hain isi option ke dwara aap apne blog ka background colour bhi change kar sakte hain.
Adjust Widths :-
Yahan par aap apne blog aur sidebar ki width apni ichchhanusar kam ya adhik kar sakte hain
Layout :-
Is option me aap body layout aur footer layout ko apni ichchhanusar select kar sakte hain body layout me se single ya two ya three columns side bar wali layout select kar sakte hain isi parkar footer layout me se single, two ya three columns footer wali layout select kar sakte hain
Advanced :-
Advanced customisation me many options hote hain in options ka use karke ham apne blog ko more beautiful bana sakte hain.
- Page : is option me aap apne blog ke page text ka font change kar sakte hain page ka background colour change kar sakte hain aur text colour change kar sakte hain
- Links : Isme 3 parkar ke colour options hote hain link colour, visited colour and hover colour inko aap apni ichchhanusar change kar sakte hain
- Blog Title : Isme bhi three options hote hain Title Font, Title Colour and header background. Title font me aap apne blog ke title ka font change kar sakte hain title colour me title ka colour change kar sakte hain aur header background me header colour change kar sakte hain
- Blog Description : Aap apne blog title ke niche jo description dalte hain is option me aap us description ka font aur colour change kar sakte hain
- Tabs text : is option ke dwara aap blog ke navigation menu bar ke font aur text colour change kar sakte hain. Navigation menu bar blog me sabse upar hota hai
- Tabs Background : Is option ke dwara hum Navigation menu ke tabs ka background colour change kar sakte hain aur border colour change kar sakte hain
- Date Header : Is option ke dwara aap Date Header me likhi hui date ka font aur colour change kar sakte hain aur background colour change kar sakte hain
- Post title : Isme blog me likhi hui post ke title ka font change kar sakte hain aur text colour change kar sakte hain
- Post background : Is option me post background colour change kar sakte hain border colour change kar sakte aur bevel colour change kar sakte hain
- Gadget Title : Sidebar me jo gadgets hote hain is option me un gadgets ke titles(About Me, Archive etc.) ka font change kar sakte hain aur colour change kar sakte hain
- Gadget text : Gadgets ka text colour change kar sakte hain font change kar sakte hain aur alternative colour change kar sakte hain
- Gadget Links : Gadgets me jo links hote hain unka colour change kar sakte hain visit colour change kar sakte hain aur hover colour change kar sakte hain
- Gadget Background : Gadgets ka background colour change kar sakte hain border colour change kar sakte hain aur bevel colour change kar sakte hain
- Sidebar Background : is option me sidebar ka background colour change kar sakte hain
- Images : is option ke dwara post me upload ki Jane wali images ka background colour change kar sakte hain aur border colour change kar sakte hain
- Footer : is option me aap author, label, social media text aur dates ka text colour change kar sakte hain background colour change kar sakte hain aur shadow colour change kar sakte hain
- Mobile Button Colour : Is option ke dwara hum mobile template me mobile Button colour change kar sakte hain
- Add CCS : Is option ke dwara hum custom css cod use karke blog template ki design change kar sakte hain
Use of "WILL BE ABLE TO" Hindi to English
Present Indefinite Tense Hindi to English
Present Continuous Tense Hindi to English
Past Continuous Tense Hindi to English
Present Indefinite Tense Hindi to English
Present Continuous Tense Hindi to English
Past Continuous Tense Hindi to English
No comments:
Post a Comment
Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।