Powered By Blogger Ko Kaise Remove Kare




'Powered by Blogger' ko kaise remove Kare Is article me bataya gaya hai ki Attribution Widget 'powered by Blogger' ko blogger ke footer se kaise remove ya hide Karte hain becoz powered by blogger ko dekhkar har koi yeh jaan Leta hai ki yeh ek blogspot par banaya gaya blog hai website nahi hai jisse visitors par impression kam ho jata hai 'powered by Blogger' ko hide/remove kar dene se hamara blog website jaisa dikhayi padta hai is article me main aapko Attribution widget 'powered by blogger' ko remove/hide karne ke two popular methods batane jaa raha hun in me se kisi ek ko follow karke aap apne blog ke footer se Attribution 'powered by Blogger' ko hide/remove kar sakte hain

Powered By Blogger Kya Hai 


Powered by blogger ka matlab hai ki aapka blog blogspot blog hai jo blogger.com par banaya gaya hai blogger.com free plateform hai jaha par koi bhi free blog create kar sakta hai but blogger ki partiyek theme mein sabse niche footer mein Powered By Blogger likha hota hai jisse visitors ko pata chal jata hai ki yeh google ka free plateform blogger.com hai isse hamare blog par visit karne wale visitors par achha prabhav nhi padta hai



Method 1: Remove 'Powered by Blogger' By Unlocking Attribution Widget


Apne blog ke dashboard me pahunchkar layout par click kijiye scroll down karke footer attribution me edit par click kijiye


Edit par click karte hi ek dusri window aapke samne open ho jaayegi is window me aap dekhenge ki remove button dikhayi nahi pad raha hai it means Yeh Attribution widget abhi locked hai


hamen Yahan par remove button activate karne ke liye is attribution widget ko unlocked karna hoga

Attribution Widget ko unlocked kaise kare 

Apne blog ke dashboard me theme(template) par click kijiye iske baad Edit HTML par click kijiye click karte hi HTML code open ho jaayega


Jump to widget par click kijiye iske baad Attribution1 par click kijiye



Click karte hi aap HTML code me Attribution1 par pahunch jaayenge
Aap search box open karke bhi Attrition1 par pahunch sakte hain HTML code me kahin par click kijiye aur ctrl+f button press kijiye search box open ho jaayega search box me Attribution1 type kijiye aur enter kar dijiye aap Attribution widget par pahunch jaayenge upar screenshot dekhye showaddelement='no' ko showaddelement='yes' kar dijiye aur locked='true' ko locked='false' se replace kar dijiye and save template par click kar dijiye
Ab layout par click kijiye iske baad footer attribution par click kijiye ab aap dekhenge ki additional option remove button show ho raha hai


Remove button par click kar dijiye iske baad Save Arrangements par click kar dijiye Ab aapke blog se footer Attribution widget 'Powered by Blogger' remove ho chuka hai

Method 2 -Remove 'Powered by Blogger' by Adding CSS Code


Dashboard >> Theme >> Edit HTML par click karne ke baad ctrl+f press karke code body{ 
search kijiye



Jab yeh code mil jaaye is code ke theek upar (just above) yeh code paste kar dijiye
#Attribution1 {display: none;}'


Finally Save Template par click kar dijiye

Ab aapke blog se 'Powered by Blogger' Attribution remove ho chuka hai agar aapne custom template purchase ki hui hai to main aapko suggest karna chaahunga ki 'Powered by Blogger' ko remove karne ki processing start karne se pehle apne blogger template ko backup karke download kar Lena chaahiye so that HTML cod ki editing karte samay yadi koi mistake ho jaye to aap ise dobara restore kar sake

   Is parkar in do tarikon se hum 'Powered by Blogger' attribution widget ko saralta se remove kar sakte hain


Related posts 

Post ke url ko search me lane ke liye fast index kaise kare 

Free new website kaise banate hain full guidance

Blog ko Google Plus profile se kaise jodte hain

Ek post me dusri post ka URL link kaise add karte hain 

5 comments:

  1. http://www.internetkapower.com

    Check karke batao kaisa hai

    ReplyDelete
  2. Thanks for sharing the information. I found the information very useful. That’s an awesome story you posted. I will come back to scan some more..

    ReplyDelete
  3. I like your all post. You have done really good work. Thank you for the information you provide, it helped me a lot. I hope to have many more entries or so from you.
    Very interesting blog.
    Restoro Crack/a>

    ReplyDelete

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।