blog post me image kaise upload karte hain full guidance


My friends koi blog ho ya website uski har post me image daalna zaruri hota hai becoz images readers par achchha effect daalti hain. Images wali post ko log adhik pasand karte hain aur yeh baat bhi kafi charcha me hai ki ek image 1000 words ka kaam karti hai. Blog post me image daalna ya upload karna bahut hi saral aur asan hai.


 Aaiye jante hain Blog post me image upload karne ka tarikaFirst of all apni ID se log in karke apne blog ke dashboard par paunch jaaiye jis post me aap image upload karna chaahte hain us par click karke post editor me pahunch jaaiye



                   

Screenshot me Link ke barabar me insert image button par click kijiye Red errow  ka ishara dekhye


Insert image Button par click karte hi aapke samne Add images tool open ho jayeg

Choose files par click kijiye



Choose files par click karte hi aapse puchha jaayega ki  aap jo file upload karna chaahte hain voh file kahan hai Camera me hai Camcorder me hai ya Documents me hai ya kahin aur hai Jahan par bhi aapki file save hai vahin par click kar dijiye 

 

Suppose kijiye Documents me aapki file save hai to Documents par click kar dijiye Agar aapki file Drive me save hai to Drive par click kar dijiye aur agar aapki file Gallery me save hai to Gallery par click kar dijiye ya iske alava  kisi aur jaga save ho Jaise images, videos, audio etc me save ho to vahan par click kar dijiye 


Maan lijiye jis file ko aap upload karna chaahte hain voh Gallery me save hai to aap Gallery par click kar dijiye Gallery par click karte hi jitni files Gallery me save hain voh sab aapke samne aajaayengi Jis file ko aap upload karna chaahte hain us par click kar dijiye voh upload hona Shuru ho jaayegi Niche screenshot dekhye 




Jis file ko aap blog post me add karna chaahte hain usko select kijiye aur finally Add selected par click kar dijiye


Agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain 

Image Optimization 

Web page ko sundar aur adhik attractive banane ke liye post content mein images add ki jati hain in images ko seo friendly banane ke liye optimise karne ki zarurat hoti hai yaha images ko optimise karne ke liye kuchh tips diye gaye hain jinhen read karke aap image optimization asani se kar sakte hain


  • Jo bhi image aap post mein dalna chahte hain voh post se related honi chahiye unrelated images use na kare inka visitors par koi impression nhi padta hai

  • Image kewal tab hi use karo jab image ki zarurat ho aur kewal vahi use karo jahan zarurat ho kisi bhi post mein bina zarurat ke images use karne se koi benefit nahi balki nuksan hai kyonki zyada images Adsense se approval milne mein rukawat ban jati hain
  • Copy right images use na kare isse apko problem ho sakti hai apki report ho sakti hai aur apko penalty mil sakti hai
  • Kisi bhi image ko use karne se pehle uska size compress kar Lena chahiye big size ki image ko load hone mein der lagti hai aur sambandhit post ko bhi load hone mein der lagti hai
  • Image ke saath image caption add karna chahiye caption mein image ke bare me do char shabd likhen jisse image ko samajhne mein asani rahe 

Is trah hum image ko upload karne se pehle optimise kar len to yeh seo ke liye better hai I hope yeh post aapko pasand aai hogi agar aap is post se related koi sawal puchhna chahte hain to comment karke puchh sakte hain 








Related Posts 






2 comments:

  1. This is stunning post. It is likewise astoundingly satisfying for us. I have been looking through sorts of posts. Two or three days back I read an article about post. In any case, this superior to post.

    ReplyDelete
  2. Image post krne k baad image k 7 fire icon kyse lgate and red writing kyse use krte hain image post krne k baad ...ap ny bht acha guide kiya .image kyse post krte hain Thanks

    ReplyDelete

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।