blog ko google search console me kaise submit ya add kare
Agar aap blogging me field mein new ho aapne blog create to kar liya hai but ab aap janna chahte ho ki ab aage kya karna hai jab tak aap blogging karenge post to likhte hi Jana hai but is post mein hum aapko batane wale hain ki blog create karne ke baad next kaam kya karna hai
Blog create karne ke baad blog ko search console webmaster tool me submit Karna hota hai jisse hamara blog ya website search engine me show ho sake aur hamare blog par traffic increase ho sake. Blog ko google search console me submit Karna bahut aasaan
Blog ko search console me kyon submit kare
Blog ko search console me submit karna bahut zaruri hai becoz koi bhi search engine ho voh kisi bhi blog ko ya blog mein likhi hui post ko tab hi index karta hai jab veh blog search engine mein submit kar diya jata hai Yadi kisi blog ko create karne ke baad use search console tool mein submit na kiya jaye to search engine us blog ko aur us blog mein likhi hui kisi bhi post ko index nhi karega iska matlab hai ki yadi aapne apne blog ko google search console mein submit nhi kiya hai to google mein search karne par google use search result mein show nhi karega
Isliye blog create karne ke baad blog ko search console mein submit karke verify karna atyant aavashyak hai taki jab koi aapke blog ki post se related key words search box mein type karke search kare to search engine aapyke blog ki post ko search result mein show kar de jisse voh uspe click karke entry kar le
SEO ke liye search descrtion box kaise enable kare
Blog Post ke URL ko search result mein fast index kaise kare
Blog ko search console tool mein kaise submit kare
Apne blog ko search console webmaster tool me submit ya add karne ke liye niche likhe steps ko follow Kare ---
Step 1
Sabse pehle kisi browser mein apna gmail ID aur password dalkar sign in kare
Sign in karne me baad browser me search box mein Google Search Console type karke search kare
Iske baad jo search result aapki screen par show hoga usme se aapko google search console par click karna hai
Ab red colour ADD A PROPERTY par click kar dijiye
Step 2
ADD A PROPERTY par click karte hi next page open ho jayega
Website me samne wale box mein apni us website ya blog ka URL likhye jise aap google search console mein submit ya add karna chahte gain
Iske baad add par click kare
Step 3
Add par click karte hi aap next page par ajayenge
Ab aap Alternate Method par click kar dijiye
Iske baad HTML tag par click kare
HTML tag par click karte hi ek code show hoga jaisa screenshot mein dikhaya gaya hai
Step 4
Is code ko copy kar lijiyeIske baad apne blog ke dashboard par paunch jaaiye
Theme (template) par click kijiye
Iske baad Edit theme par click kijiye
Ab aap apne blog me HTML section mein pahunch jayenge
Ab aapke samne aisi window open hogi
Isme kahi par click kijiye aur ctrl+f button press kijiye
Search box open ho jaayega
Aapko <head> search karna hai <head> type kijiye
Generally <head> aapko Shuru ki 4-5 line ke baad mil jaayega
<head> ke theek niche vo cod paste kar dijiye jo aapne search console me copy kiya tha
Ab save theme par click kijiye
Aur blog me dashboard mein update par click kar dijiye
Step 5
Iske baad vapas search console me pahunchkar VERIFY par click kar dijiyeCongratulations ab aapka blog Search console webmaster tool me submit ho chuka hai aur verify ho chuka hai
Bahut achchhi post likhi hai aapne
ReplyDeleteThanks
ReplyDelete