SEO Kya Hai Kaise Kam Karta Hai Complete Guide Hindi me



SEO (Search Engine Optimization) kya hai ? SEO kaise kaam karta hai ? Blog ke liye SEO kyon zaruri hai in sab sawalo ke jawab aapko is post mein mil jayenge bas aap is post ko attentionally aakhir tak padhe


SEO kya hai (What is SEO) 

Newbe bloggers ko aksar yeh sawal bahut pareshan karta hai ki aakhir yeh SEO hai kya cheez to aaiye mein aapko batata hu SEO kya hai SEO kise kehte hain SEO ki full form to aap jaan hi gaye honge Search Engine Optimization 




Search Engine to aap jante hi honge Search Engine ko hindi me translate kare to Search Engine ka hindi roopantaran Khoj Engine (खोज इंजन) hota hai yaha par hum jis search engine ki baat kar rahe hain uska matlab Web Search Engine se hai arthat Internet Search Engine jo ek aisa software system hai jiske madhyam se aap internet par koi bhi particular information search kar sakte hain Google, Bing, Yahoo etc. sab Search Engine hain


Kisi browser mein jab kisi particular information se related kuchh words type karke search karte hain to hamare samne us particular information ke bare mein ek search result show hota hai jise show karne ka kaam search engine karta hai ab asp samajh gaye honge search engine se kya hota hai to aaiye ab hum optimization ki baat karte hain   




Optimization ko hindi me anukulan (अनुकूलन) kehte hain matlab kisi chiz ko apne anukool banana Optimization means the act of making something as good as possible 


Is parkar search engine optimization ka arth hai search engine ko apne anukool banana jisse hamare blog ki har post search result mein first page par show ho sake har blogger yeh chahta hai ki uska blog pure world mein famous ho aur har blogger ki yeh ichchha hoti hai ki uske dwara likhi gaee partiyek post search result mein first page par show honi chahiye jiske liye blogger ko search engine ko optimise karna hota hai aur SEO friendly post likhni hoti hai jisse search engine use search result mein first page par show kar sake


Hum Search Engine ko Optimize Kyon Kare 


Newbe blogger ke dimag mein yeh sawal aa sakta ki hum search engine ko optimise kyon kare yeh kyon zaruri hai aur iske kya benefits hain jaha tak mera khyal hai upper ke lekh mein aapko in sab sawalo ka jawab mil gaya hoga aur agar nahi mila hai to main aapko fir se batana chahunga ki agar aap apne aap ko world ke karodo logo ke samne upasthit karna chahte hain to iske liye ya to U Tube par video dalkar aap apne aapko logo ke samne pesh kar sakte ho ya fir content likhkar apni baat ko dusro tak pahuchaya ja sakta hai 



Content likhne ke liye blog banana hota hai blog mein jo bhi post aap likhte ho agar aap use dusro tak pahunchana chahte ho to us post ka search result mein first page par aana zaruri hai aur kisi bhi post ko first page par lana koi aasan kaam nhi hai kyonki jis topic par bhi aap content likhoge us topic par already hi sekdo content likhe ja chuke hain in sekdo ko pichhe chhodkar apni post ko search result mein first top lana kafi mushkil kaam hai is mushkil kaam ko solve karne ke liye SEO ki jankari hona bahut zaruri hai Search Engine Optimization ke dwara hi hum apni post ko search result mein first page par show kar sakte hain


Search Engine ko Optimise Kaise Kare

SEO par sekdo post likhi ja  sakti hain but hum yaha par Basically On Page SEO aur Off Page SEO ke bare me charcha karenge 


On-Page SEO

On Page SEO mein blog ki ek post ko rank karna hota hai jisse voh search result mein first page par show ho sake


1. Post Title

Post title aisa create kijiye ki visitor ki nazar padte hi vah uski detail padhne ki ichchha kare jis topic par post likh rahe ho uske keywords post title mein zarur use kare taki search result mein pehle page par rank ho sake

2. Heading Tag

Post likhte samay headings h1, h2, h3, h4 ka use bhi SEO me liye labhdayak hai dhyan rahe ki headings mein bhi adhiktar keywords use karne ki koshish kare


3. Meta Description

Meta description SEO ke liye bahut important hota hai search result mein post title ke niche jo description show hota hai use hi Meta Description kehte hain yeh search description box mein likha jata hai but yeh zaruri nhi hai ki aapne jo meta description likha hai search engine use hi show karega vah aapki post se ek do line lekar bhi search result mein show kar sakta hai


4. Parmalink Structure


(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});

Parmalink Structure SEO ke liye bahut important hai yaha mein suggest karna chahunga ki aap custom parmalink use kare custom parmalink me keywords use kare aur short parmalink create kare


5. Images 

Images se bhi SEO ko benefit hota hai aajkal log images ko dekhna zyada pasand karte hain images mein keywords ka use zarur kare issue surely search engine optimization mein benefit hoga 


6. Post Length

Post ki length jitni zyada hogi SEO ke liye utni hi better hai partyek post mein minimum 1000+ word hone chahiye long post ko search engine mein first page par rank milne ke chance adhik hote hain

7. Internal Links

Internal Linking SEO ke liye bahut zaruri hai Internal Link ka arth hai apne blog ki ek post ka link usi blog ki dusri post me add karna aisa karne se visitors hamare blog par adhik der tak tike rehte hain 

8. External Links

Ek blog ya website me kisi dusri blog ya website ka link dalna external link kehlata hai External links ko rank power increase karne ka important source kaha jata hai

Off Page SEO

Off Page SEO ke antargat adhiktar link building ke dwara site par traffic badhana aata hai yeh seo ka bahut impotant factor hai isse site ki rank increase hoti hai magar dhyan rehe Off Page SEO par koi bhi action lene se pehle On Page SEO ka complete hona bahut zaruri hai to aaiye ab jante hain Off Page SEO se related kuchh activities ke bare me


1. Search Engine Submission

Koi bhi blog ya website create karne me baad sabse pehla kaam hota hai uske bare me search engine ko inform karna jisse search engine use index karke search result me show kar sake yeh partyek blog ya website me liye atyant aavashyak hai kuchh pramukh search engine is parkar hai

Google
Yahoo
Bing



2. Articles Submission

Internet par aisi bahut si sites hain jo hame articles publish karne ki suvidha pradan karti hain iske liye aap apni website se related ek article likhte hain jise demo article kaha ja sakta hai is demo article me hum apni site ke main articles ke link dalkar use un websites me submit kar dete hain jo article submission ki facility provide karti hain article submission karne wali kuchh websites

sites.google.com
tumblr.com
livejournal.com
evernote.com
wattpad.com


3. Media Submission

Agar aap apne blog ya website ko famous karna chahte hain aur apni site par adhik traffic increase karna chahte hai to apni site ko social media se zarur jode

Facebook
Google Plus
Pinterest 
Twitter


4. Blog Commenting

5. Use of Guest Post

6. Question Answer Forum

7. Directory Submission

8. Bookmarking

9. Slide Share

10. Infographic Submission


Related Post


Blogspot par free blog kaise banate hai


Internet se paisa kamane ke different tarike













1 comment:

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।