General Awareness

Internet se paisa kaise kamaye Internet se paisa kamane ke different tarike



Internet se paisa kaise kamaye इस पोस्ट में हम Internet से paisa kamane fifferent tarikon ke bare me janenge

Dosto aaj ka yug internet ka yug hai aaj duniya me hazaro lakho log aise hain jinki earning ka base internet hai voh log bahut achchhi online earning kar rahe hain internet se achchha paisa kama rahe hain aur life ko enjoy kar rahe hain


Aur hazaro lakho log aise hai jo internet se earning karna chahte hain internet se paisa kamana chahte hai agar aap bhi unme se ek hai to aap bilkul right place par pahunch chuke hain aur yeh post bilkul aap hi ke liye hai

Internet se paisa kaise kamaye

Blogging se paisa kamane ke bahut sare trike hai jinme se kuchh better tariko ka main is post me zikr karne ja raha hun jinhe follow karke aap online work kar sakte hain aur ghar baith kar achchha revinue parapt kar sakte hain achchha paisa kama sakte hai

Internet se paisa kaise kamayenline 

Blogging 

Blogging ka naam to aapne suna hi hoga blogging se earning karna aasan hai in the beginning blogspot par blog create karna better hai blog mein 20  25 post likhiye traffic increase kijiye jab traffic lagbhag 500 pageviews daily ho jaye to aapko google Adsense se approval mil sakta hai jisse aap ghar baith kar achchhi earning kar sakte hain Adsense blog par ads lagane ka paisa deta hai kuchh experience hasil ho jane ke baad aap wordpress par blog create kar sakte hain


Agar aap blogger.com par blog create karna nhi jante ho to hamari yeh post read kijiye


Blogspot par free blog kaise banate hain full guidance





WordPress blogging ke liye best plateform hai WordPress par blog banakar earning mein badhotri ke chance barh jate hain but beginning me blogspot par blog create karna better hai because blogger.com plateform par aap free blog bana sakte hain aapko ek paisa bhi invest karne ki zarurat nhi hai jabki wordpress.org ek paid service hai yaha par lagbhag 1000 rupees per month kharch karne padenge


Isliye better way yehi hai ki pehle blogspot par blog banakar blogging mein kuchh experience hasil kare iske baad WordPress par blog banakar blogging ke maidan me aage barhne ka prayas kare

 dhyan rahe Google Adsense ads par sabse zyada pay karne wali company hai aaj India me kitne hi blogger aise hai jo adsense ke ads se lakho rupees per month earning kar rahe hain

Internet se paisa kaise lamaye

Online Surveys

Online Survey ghar baith kar earning karne ka ek better vikalp hai aap apne PC par work karke online Survey karke good revinue prapt kar sakte hain is trah aap ghar baith kar 2-4 ghante online work karke achhi earning kar sakte hain


Survey me company ki taraf se aapse kuchh questions puchhe jate hai jinka aapko right answer fill karke company ko send karna hota hai jiske badle me company aapko per survey 3-5 doller ya isse adhik pay karti hai


Lekin dhyan rahe aaj hazaro companies aisi hain jo survey karwati hain but unme bahut si companies fraud bhi hoti hain jo survey to karati hain lekin aapko unse ek paisa bhi prapt nhi hota isliye agar aap online survey karke income karna chahte hain to koi achchhi company choose kare jisse aapka precious time waste na ho


Multinational companies apne business ki growth karne ke liye apne products ki sell ko increase karna chahti hai products ki sell increase karne ke liye unhe yeh janne ki zarurat hoti hai ki logo ka unke product ke bare me kya vichar hai kya interest hai isse company ko market ki demand ka andaza ho jata hai online survey ke through jo feedback company ko milta hai uske adhar par company ek aisa new product create karti hai jiski demand market me high hoti hai  


Niche kuchh more paid survey sites ke name diye gaye hain jinhe join karke aap achchhi earning kar sakte hain


  • iPanelOnline India
  • Star Panel
  • India Speaks
  • Toluna
  • Panel Place
  • Brand Institute 




Freelance Content Writing 

Agar aap blogging nhi karna chahte hain to freelance content writing karke online paisa kama sakte hain yadi aapko likhna pasand hai aapki writing skills achchhi hai to aisi bahut si website hain jaha par aap content writing karke online earning kar sakte hain
Bahut si companies aisi hain jo content writing ke liye employee hire karti hai news channels me content writers ke liye kafi vacancy aapko mil jayengi bahut sari companies as a freelancer kam karwati hain jisme hard copy ya audio clip ko content ke roop mein copy karna hota hai
Freelance companies only content writing ka hi kaam provide nhi karti hain balki iske alawa aur bhi bahut sare kaam hain jinhe as a freelancer karke aap internet se achchhi earning kar sakte hain main kuchh freelancing work provide karne wali websites ke naam likh raha hun jaha par as a freelancer kaam kar sakte hain aur good revinue prapt kar sakte hain


  • guru.com
  • upwork.com
  • fiverr.com


YouTube se Earning

YouTube earning karne ka hotter madhyam hai YouTube par ek channel baniye fir is channel par some quality videos upload kijiye apne channel ko Adsense se approve kariye aur earning start kar dijiye 

YouTube par aap different type ki vedios upload kar sakte hain jaise comedy videos, kitchen recipes, blogging tips, song, kavita, Sher o shayri etc bahut sare topics hain jin par aap video banakar YouTube par upload kar sakte hain jaise hi aapko approval milta hai aapki earning start ho jayegi

Online Data Entry 

Online data entry karke bhi aap income kar sakte hain isme kai type ke kaam hote hain jaise copy paste work, form filling work, data formatting work, image to text data entry, converting files, audio to text, captioning etc.
Iske alawa aur bhi kai aise kaam hain jo data entry ke antargat aate hai jo log website nhi bana sakte hain blogging nhi kar sakte hain voh log data entry karke online earning kar sakte hain

Domain trading

Domain trading ka business karke bhi high profit earn kiya ja sakta hai but yeh ek risky work hai isme pehle kuchh money invest karni hoti hai money invest karne se pehle iske bare mein coplete knoledge prapt kare you must be an expert
Aapko domain provide karne wali company (like godaddy etc.) se kuchh domain kharidne hote hain jo aapko $10 per domain se kam mein asani se mil sakte hain aur ek needy person  ya company ko jise is domain name ki zarurat hai aap use sekdo dollers ke badle mein sell kar sakte hai
Agar kisi person ya company ko us domain ki zarurat hai jo aapke pass hai pehle to yeh person ya company domain provider company se contact karenge jab vaha veh domain nhi milega to aapse contact kiya jayega aap apni ichchhanusar us domain ko high price par sell kar sakte hain


Internet se paisa kaise kamaye


Valuable Post










No comments:

Post a Comment

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।