Ek Post Me Dusri Post Ka URL Link Kaise Add Karte Hain


Ek Post  Me Dusri Post Ka URL Link Kaise Add Karte Hain 


Dear friends ek  Post me dusri Post ka URL link add karne ka Sabse bada fayda Yeh hota hai ki post ko read karne wala hamare blog par adhik der tak tika rehta hai jisse hamari site ka bounce rate badhta hai aur reader ko bhi ek post se dusri Post par Jane me problem nahi hoti hai. URL link SEO ke liye zaruri hai jisse site ki ranking me badhotri hoti hai

Internal Link

Agar ham apne hi blog ki kisi ek post me usi blog ki dusri post ke url ka link add karte hain to Yeh internal link kehlata hai 

External Link

Agar ham apne blog ki kisi ek post me usi blog ke post ka URL link add na karke kisi dusre blog ki post ke url ka link add karte hain to Yeh external link kehlata hai

URL link kaise add karte hain 


  • login karke blog ke dashboard me jaaiye 
  • Blog ki jis post me aap link banana chaahte hain edit par click karke us post me entry kijiye.
  • Post ki jis line ya jis word par aap link banana chaahte hain use select kijiye.
  • Ab edit bar me Link par click kijiye niche edit bar ka screenshot dekhaya gaya hai 





Edit bar me Link par click karte hi aapke samne ek new popup window open ho jaayegi 
        Screenshot dekhye



1-  Text to display :  



Yahan par kuchh likhne ki zarurat nahi hoti hai jis line ya jin words par aap link banana chaahte hain us line ko ya un words ko select kar lijiy voh line ya words select karke link par click karte hi Text to display ke saamne wale box me automatically likhe hue aajayenge

2-  Which URL should this link go to 

Is box me aapko us post ka URL add karna hai jisse aap upar wale box me likhi hui line ko link karna chaahte hain us post ke url ko copy karke Yahan par paste kar dijiye .

3-   Test this link 

Yahan par click karke aap check kar sakte hain ki link theek kaam kar raha hai ya nahi 

4-  Web address :

Agar aap kisi post ke url se link karna chaahte hain to Web address select kijiye.

5-  Email address :

Agar aapko apni post me koi email add karna hai to email address select  kijiye

6-  Open this link in a new  window :

Agar aap chaahte hain ki jab koi is link par click kare to is link wali post ek alag window me open ho to yahan par click kar dijiye 

7- Add 'rel=nofollow' attribute :

Agar aap chaahte hain ki aapki post search engine index na Kare to nofollow par click kar dijiye 

8-  OK

At last OK par click kar dijiye 

Note ---

1 aur 2 ko fill karne ke baad  4 par click kijiye aur iske baad OK par click kar dijiye aapka link ho jayega 


Blog post mein dusri post ka link add karne ke benefits 


  • Blog post mein dusri Post ka link add karne ka sabse pehle yeh benefit hota hai ki hamare blog par visit karne wale visitors hamare blog par adhik der tak bane rehte hain
  • Blog post mein dusri Post ka link add karne se visitors ko dusri Post par pahuchne mein asani rehti hai aur post bhi achhi lagti hai
  • Blog post mein dusri post ka URL link add karne se visitors hamare blog par adhik der tak bane rehte hain jisse bounce rate achhi hoti hai aur hamare blog ki rank bhi barh jati hai
  • Ek post mein dusri post ka link add karna seo ke liye bahut zaruri hai isse blog par traffic barhta hai 
Asha karta hun ki ab aap jan gaye honge ki blogger ki Kisi bhi post mein dusri post ka link add karna kitna zaruri hai ye blog ki seo, traffic aur bounce rate sabhi ke liye labhdayak hai isliye main suggest karna chahunga ki apne blog ki her ek post mein dusri post ke links zarur add kare agar aap is post se related koi question puchhna chahte hain ya koi sujhav dena chahte hain to comment karke de sakte hain





Related posts


  


Other Posts 

























     










No comments:

Post a Comment

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।