Blog post url ko search engine me lane ke liye fast index kaise kare
dear friends is post me main aapko btaunga ki blog post ko search engine me jaldi lane ke liye fast index kaise krte hain post ke url ko search engine me fast index karne ka arth Yeh hai ki jab koi search box me amuk post se related url dalkar search Kare to search engine aapki post ke url ko bhi uske samne show kar de. Aisa tab hi hoga jab aapne apni post ke url ko search console me index karke verify kiya hoga to aaiye jante hain ki post ke url ko fast index karne ke liye verify kaise karte hain
Blog post ke url ko search console me fast index karne se pehle apne blog ko search console webmaster tool me submit zarur Kare iske baad hi post ke url ko fast index karne ki parkirya Shuru kare.
Blog ko search console google me kaise submit Kare
Blog post ke url ko search engine me jaldi lane ke liye fast index kaise kare
Post ke URL ko search engine mein fast index karne ke liye post ke URL ko search console mein fetch karna hota hai search console mein post ke URL ko fetch kaise karte hain yeh janne ke liye niche likhe steps follow kare
Step-1
- Browser mein apni email ID se login karke google search console par jaiye
- Red color PROPERTY par click kar dijiye
- Ab us property(blog) ko choose kijiye jiski post ko aap fast index karna chahte hain
- Next page mein left side mein dashboard ki drop down list mein CRAWL par click kijiye
- Iske baad Fetch as google par click kar dijiye
- Jis post ko fetch karna chahte ho uske URL ko copy karke box mein add kar dijiye yaha yeh point dhyan mein rahe ki box mein post ke URL ke sath blog ka domain name add nhi karna hai post ke URL ko paste karne ke baad blog domain name usse remove kar dijiye
- Desktop ya mobile mein se ek choose kar dijiye jisme bhi aap post ko fetch karna chahte hain
- Ab FETCH or FETCH AND RENDER par click kar dijiye
Step-2
1-2 second ki processing ke baad Index Requesting par click kar dijiye. Aapke samne ek dusri window open ho jaayegi niche screenshot dekhye
- Upar dikhaye gaye screenshot ke according reCAPCHA par click kijiye
- Iske baad Crawl only this URL or Crawl this URL and its direct links mein se kisi ek ko choose kar lijiy
- Iske baad finally go par click kar dijiye
- Ab aapke post ka URL fast index ho chuka hai
Fetch as Google
Fetch as google tool ke dwara hum yeh jan sakte hain ki google aapki site par kisi URL ko crawl kaise karta hai Iska use karke aap yeh jan sakte ho ki Fetch as google aapke URL ko kaise index karta hai karta hai ya nhi karta hai aur Iske dwara hum yeh bhi jan sakte hain ki Fetch as Google tool ko kisi URL ki script aur images ko crawl karne mein koi rukawat to nhi hai ya webpage par google robot block to nhi hai
FETCH
FETCH apki site mein kisi specified URL ko fetch karta hai aur HTTP response ko display karta hai FETCH ke dwara hum kisi associated resources (jaise script aur images) ko page par run nhi kar sakte hain yeh ek quick operation hai jiske dwara aap yeh jan sakte hain ki aapki site ke saath koi security issues to nhi hai aur Iska use karke aap suspected network connectivity ko check kar sakte hain
FETCH AND RENDER
FETCH AND RENDER bhi aapki site mein specified URL ko fetch karta hai aur HTTP response ko display karta hai FETCH associated resources script aur images ko page par run nhi karta but FETCH AND RENDER ke dwara hum associated resources script aur images ko page par run kar sakte hain Iske dwara aap yeh bhi jan sakte ho ki googlebot aapke kaise dekhta hai aur ek user kaise dekhta hai
Ummid hai Yeh jaankaari aapko pasand aayi hogi agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain
Related Posts
Advanced SEO ke liye search description box kaise enable karte hain full guidance
Parmalink kya hai blogspot par parmalink kaise create karte hain
Sir post index ho gya h pr search me show ni kr rha post q??
ReplyDeleteThoda wait kijiye show ho jayega
Deleteन्यू ब्लॉगर के लिए ये पोस्ट हेल्पफुल है क्योंकि वो जल्दी पोस्ट को इंडेक्स करना चाहते है
ReplyDeleteThanks bro
Deleteहां फ्रेंड्स आपने सही कहा, और जानकारी भी काफी अच्छी है
Delete