General Awareness

Post Title Se Blog Title Ko Search Me Kaise Remove Kare


Post Title Se Blog Title Ko Search Me Kaise Remove Kare

Is post me main aapko batane Jaa raha hun ki post title se Blog title ko search mein kaise remove karte hain agar blog title achha hai seo friendly hai to yeh search engine ke liye bahut achha hota hai lekin agar blog title seo friendly nhi hai aur aap blog title ko search result mein post title se remove karna chahte hain is post me kuchh tips diye gaye hai jinhen follow karke aap search result me post title se blog title ko remove kar sakte hain aur agar aap search result me post title ko blog title se pehle show karna chahte hain to uske liye bhi kuchh tips dye gaye hain jinhen follow karke aap search result me blog title ko post title ke baad show kar sakte hain Yahan par main aapko suggest karna chaahunga agar aap post title se Blog title ko remove karna chaahte hain to ise aap blog create karte hi first post likhne se pehle hi remove  kar dijiye

Free new blog website kaise banate hain tips hindi me 

Blog Title 

Blog title Blog k title ko kaha jata hai  new blog create karte time blog ko jo name diya jata hai voh name hi blog title kehlata hai jaise mere blog ka name web earning points  hai ye hi mere blog ka title hai

Post Title 

Page title post title ko kaha jata hai. Blog create karne ke baad aapke samne blog ka dashboard open hota hai. Koi bhi post likhne ke liye New post par click karte hain aur post ka content likhna Shuru kar dete hain is post ko jo title diya jata hai us title ko hi Page Title  ya Post Title kehte hain
 Niche screenshot dekhye

Screenshot me Blog title Post title ke saath show ho raha hai 
Agar aap blog title ko post title ke baad show karna chaahte hain 
to niche likhe rules follow kijiye

Search mein blog title se pehle post title kaise show kare

First of all apne blog ke dashboard par pahunchye


          1-  Theme par click kijiye
          2-   Edit HTML par click kijiye
       
          Aapke samne HTML coding open ho jaayegi

Yeh cod search kijiye
<title><data:blog.pageTitle/></title>
Jab Yeh cod mil jaaye ise is cod se Replace kar dijiye

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'> 
   <title>  
     <data:blog.pageName/> | 
     <data:blog.title/>
   </title> <b:else/> 
   <title> 
     <data:blog.pageTitle/> 
  </title> 
</b:if>

Ab search result me search engine post  title ke baad blog title ko show karega

Post title se blog title ko search mein kaise remove kare

Agar aap chahte hain ki search engine blog title ko post title ke saath show hi na kare matlab agar aap search mein post title se blog title ko remove karna chahte hain to niche likhe tips follow kijiye

  • Apne blog ke dashboard mein entry kijiye 
  • Theme par click kijiye 
  • Iske baad Edit HTML par click kijiye ab aapke blog ki coding open ho jayegi 
  • Theme ki coding mein yeh cod search kijiye 

             <b:widget id='Header1' locked='true'

  • Jab yeh code mil jaye code last mein 'true' ko remove karke 'false' type kar dijiye 
  • At last save theme par click kar dijiye  

Related Posts 

Blogger template ko customise kaise karte hain full guidance 


Free new blog website kaise banate hain tips hindi me 


Blog ko search console webmaster tool me kaise submit ya add kare 


 blog post  me photo ya image kaise upload karte hain 


Post ke url ko search engine me lane ke liye fast index kaise kare 


SEO ke liye search description box kaise enable karte hain full guidance 


3 comments:

  1. my whatsapp number .. 00923477826837.
    please call me .
    help me sir

    ReplyDelete
  2. i try Today for Removing blog title.

    ReplyDelete

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।