General Awareness

blog post me image kaise upload karte hain full guidance


My friends koi blog ho ya website uski har post me image daalna zaruri hota hai becoz images readers par achchha effect daalti hain. Images wali post ko log adhik pasand karte hain aur yeh baat bhi kafi charcha me hai ki ek image 1000 words ka kaam karti hai. Blog post me image daalna ya upload karna bahut hi saral aur asan hai.


 Aaiye jante hain Blog post me image upload karne ka tarikaFirst of all apni ID se log in karke apne blog ke dashboard par paunch jaaiye jis post me aap image upload karna chaahte hain us par click karke post editor me pahunch jaaiye



                   

Screenshot me Link ke barabar me insert image button par click kijiye Red errow  ka ishara dekhye


Insert image Button par click karte hi aapke samne Add images tool open ho jayeg

Choose files par click kijiye



Choose files par click karte hi aapse puchha jaayega ki  aap jo file upload karna chaahte hain voh file kahan hai Camera me hai Camcorder me hai ya Documents me hai ya kahin aur hai Jahan par bhi aapki file save hai vahin par click kar dijiye 

 

Suppose kijiye Documents me aapki file save hai to Documents par click kar dijiye Agar aapki file Drive me save hai to Drive par click kar dijiye aur agar aapki file Gallery me save hai to Gallery par click kar dijiye ya iske alava  kisi aur jaga save ho Jaise images, videos, audio etc me save ho to vahan par click kar dijiye 


Maan lijiye jis file ko aap upload karna chaahte hain voh Gallery me save hai to aap Gallery par click kar dijiye Gallery par click karte hi jitni files Gallery me save hain voh sab aapke samne aajaayengi Jis file ko aap upload karna chaahte hain us par click kar dijiye voh upload hona Shuru ho jaayegi Niche screenshot dekhye 




Jis file ko aap blog post me add karna chaahte hain usko select kijiye aur finally Add selected par click kar dijiye


Agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain 

Image Optimization 

Web page ko sundar aur adhik attractive banane ke liye post content mein images add ki jati hain in images ko seo friendly banane ke liye optimise karne ki zarurat hoti hai yaha images ko optimise karne ke liye kuchh tips diye gaye hain jinhen read karke aap image optimization asani se kar sakte hain


  • Jo bhi image aap post mein dalna chahte hain voh post se related honi chahiye unrelated images use na kare inka visitors par koi impression nhi padta hai

  • Image kewal tab hi use karo jab image ki zarurat ho aur kewal vahi use karo jahan zarurat ho kisi bhi post mein bina zarurat ke images use karne se koi benefit nahi balki nuksan hai kyonki zyada images Adsense se approval milne mein rukawat ban jati hain
  • Copy right images use na kare isse apko problem ho sakti hai apki report ho sakti hai aur apko penalty mil sakti hai
  • Kisi bhi image ko use karne se pehle uska size compress kar Lena chahiye big size ki image ko load hone mein der lagti hai aur sambandhit post ko bhi load hone mein der lagti hai
  • Image ke saath image caption add karna chahiye caption mein image ke bare me do char shabd likhen jisse image ko samajhne mein asani rahe 

Is trah hum image ko upload karne se pehle optimise kar len to yeh seo ke liye better hai I hope yeh post aapko pasand aai hogi agar aap is post se related koi sawal puchhna chahte hain to comment karke puchh sakte hain 








Related Posts 






post ke url ko search me lane ke liye fast index kaise kare




Blog post url ko search engine me lane ke liye fast index kaise kare 
dear friends is post me main aapko btaunga ki blog post ko search engine me jaldi lane ke liye fast index kaise krte hain post ke url ko search engine me fast index karne ka arth Yeh hai ki jab koi search box me amuk post se related url dalkar search Kare to search engine aapki post ke url ko bhi uske samne show kar de. Aisa tab hi hoga jab aapne apni post ke url ko search console me index karke verify kiya hoga to aaiye jante hain ki post ke url ko fast index karne ke liye  verify kaise karte hain 
Blog post ke url ko search console me fast index karne se pehle apne blog ko search console webmaster tool me submit zarur Kare iske baad hi post ke url ko fast index karne ki parkirya Shuru kare.

Blog ko search console google me kaise submit Kare 


Blog post ke url ko search engine me jaldi lane ke liye fast index kaise kare 


Post ke URL ko search engine mein fast index karne ke liye post ke URL ko search console mein fetch karna hota hai search console mein post ke URL ko fetch kaise karte hain yeh janne ke liye niche likhe steps follow kare

Step-1

  • Browser mein apni email ID se login karke google search console par jaiye 
  • Red color PROPERTY par click kar dijiye
  • Ab us property(blog) ko choose kijiye jiski post ko aap fast index karna chahte hain
  • Next page mein left side mein dashboard ki drop down list mein CRAWL par click kijiye
  • Iske baad Fetch as google par click kar dijiye
  • Jis post ko fetch karna chahte ho uske URL ko copy karke box mein add kar dijiye yaha yeh point dhyan mein rahe ki box mein post ke URL ke sath blog ka domain name add nhi karna hai post ke URL ko paste karne ke baad blog domain name  usse remove kar dijiye
  • Desktop ya mobile mein se ek choose kar dijiye jisme bhi aap post ko fetch karna chahte hain
  • Ab FETCH or FETCH AND RENDER par click kar dijiye 

Step-2

1-2 second ki processing ke baad Index Requesting  par click kar dijiye. Aapke samne ek dusri window open ho jaayegi niche screenshot dekhye 


  • Upar dikhaye gaye screenshot ke according  reCAPCHA par click kijiye 
  • Iske baad Crawl only this URL or Crawl this URL and its direct links mein se kisi ek ko choose kar lijiy 
  • Iske baad finally go par click kar dijiye 
  • Ab aapke post ka URL fast index ho chuka hai 


Fetch as Google 


Fetch as google tool ke dwara hum yeh jan sakte hain ki google aapki site par kisi URL ko crawl kaise karta hai Iska use karke aap yeh jan sakte ho ki Fetch as google aapke URL ko kaise index karta hai karta hai ya nhi karta hai aur Iske dwara hum yeh bhi jan sakte hain ki Fetch as Google tool ko kisi URL ki script aur images ko crawl karne mein koi rukawat to nhi hai ya webpage par google robot block to nhi hai


FETCH 


FETCH  apki site mein kisi specified URL ko fetch karta hai aur HTTP response ko display karta hai FETCH ke dwara hum kisi associated resources (jaise script aur images) ko page par run nhi kar sakte hain yeh ek quick operation hai jiske dwara aap yeh jan sakte hain ki aapki site ke saath koi security issues to nhi hai aur Iska use karke aap suspected network connectivity ko check kar sakte hain

FETCH AND RENDER 


FETCH AND RENDER bhi aapki site mein specified URL ko fetch karta hai aur HTTP response ko display karta hai FETCH associated resources script aur images ko page par run nhi karta but FETCH AND RENDER ke dwara hum associated resources script aur images ko page par run kar sakte hain Iske dwara aap yeh bhi jan sakte ho ki googlebot aapke kaise dekhta hai aur ek user kaise dekhta hai 

Ummid hai Yeh jaankaari aapko pasand aayi hogi agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain 



Related Posts 




Blog post me image kaise upload karte hain full guidance   

                      

blog ko google search console me kaise submit ya add kare



blog ko google search console me kaise submit ya add kare


Agar aap blogging me field mein new ho aapne blog create to kar  liya hai but ab aap janna chahte  ho ki ab  aage kya karna hai jab tak aap blogging karenge post to likhte hi Jana hai but is post mein hum aapko batane wale hain ki blog create karne ke baad next kaam kya karna hai


Blog create karne ke baad blog ko search console webmaster tool me submit Karna hota hai jisse hamara blog ya website search engine me show ho sake aur hamare blog par traffic increase ho sake. Blog ko google search console me submit Karna bahut aasaan



Blog ko search console me kyon submit kare

Blog ko search console me submit karna bahut zaruri hai becoz koi bhi search engine ho voh kisi bhi blog ko ya blog mein likhi hui post ko tab hi index karta hai jab veh blog search engine mein submit kar diya jata hai Yadi kisi blog ko create karne ke baad use search console tool mein submit na kiya jaye to search engine us blog ko aur us blog mein likhi hui kisi bhi post ko index nhi karega iska matlab hai ki yadi aapne apne blog ko google search console mein submit nhi kiya hai to google mein search karne par google use search result mein show nhi karega 



Isliye blog create karne ke baad blog ko search console mein submit karke verify karna atyant aavashyak hai taki jab koi aapke blog ki post se related key words search box mein type karke search kare to search engine aapyke blog ki post ko search result mein show kar de jisse voh uspe click karke entry kar le 




SEO ke liye search descrtion box kaise enable kare 


Blog Post ke URL ko search result mein fast index kaise kare


Blog ko search console tool mein kaise submit kare

Apne blog ko search console webmaster tool me submit ya add karne ke liye niche likhe steps ko follow Kare ---

Step 1

Sabse pehle kisi browser mein apna gmail ID aur password dalkar sign in kare
Sign in karne me baad browser me search box mein Google Search Console type karke search kare
Iske baad jo search result aapki screen par show hoga usme se aapko google search console par click karna hai
Ab red colour ADD A PROPERTY par click kar dijiye


Step 2

ADD A PROPERTY par click karte hi next page open ho jayega 

Website me samne wale box mein apni us website ya blog ka URL likhye jise aap google search console mein submit ya add karna chahte gain
Iske baad add par click kare

Step 3

Add par click karte hi aap next page par ajayenge
Ab aap Alternate Method par click kar dijiye
Iske baad HTML tag par click kare
HTML tag par click karte hi ek code show hoga jaisa screenshot mein dikhaya gaya hai 


Step 4

Is code ko copy kar lijiye
Iske baad apne blog ke dashboard par paunch jaaiye
Theme (template) par click kijiye
Iske baad Edit theme par click kijiye
Ab aap apne blog me HTML section mein pahunch jayenge
Ab aapke samne aisi window open hogi


Yeh HTML codding ki window hai
Isme kahi par click kijiye aur ctrl+f button press kijiye
Search box open ho jaayega
Aapko <head> search karna hai <head> type kijiye
Generally <head> aapko Shuru ki 4-5 line ke baad mil jaayega
<head> ke theek niche vo cod paste kar dijiye jo aapne search console me copy kiya tha
Ab save theme par click kijiye
Aur blog me dashboard mein update par click kar dijiye

Step 5

Iske baad vapas search console me pahunchkar VERIFY  par click kar dijiye

Congratulations ab aapka blog Search console webmaster tool me submit ho chuka hai aur verify ho chuka hai



Valuable Post


Apne mobile se ek beautiful website ya blog kaise banaye tips Hindi me 




Blog post me image kaise upload karte hain full guidance   

  

Blog post url ko search engine me lane ke liye fast index kaise kare    


SEO ke liye search description box kaise enable karte hain full guidance               


Blogspot par free blog kaise banate hain full guidance




Blogspot par new blog banana bahut aasan hai aap 5 se 10 minute mein create kar sakte hain aur voh my dear friends agar aap blogspot par new blog banane ka irada kar rahe hain to definitely yeh post aapke liye hai is post me main aapko new blog create karne ki jaankaari dene jaa raha hun. A

Aaj world me bahut saare log internet se ghar baithe earning kar rahe hain Internet se paisa kamane ke bahut ways hain. Bahut saare raaste hain jinme blogging bhi paisa kamane ka ek achchha way hai. But new blog create karne se pehle yeh jaan lena zaruri hai ki blog hota kya hai 



What is blog


Blog ya website create karne ka tarika batane se pehle main aapko batana chaahunga ki blog hota kya hai? Yeh word "BLOG" word "WEBLOG" se liya gaya hai. Yeh ek regular update ki  Jane wali website ya webpage hota hai jise koi ek vyakti ya koi small group run karta hai. Blog informal ya conversational style me likha jata hai.


 Moreover blog veh Sthan hai jahan aap apne thoughts, openions and experiences ko regular share karte hain. Blog is the place where you can express yourself to whole world. आज के इस दौर में ब्लौग earning करने का एक behtarin माध्यम है |


Blogging kyon karni chahiye 


Kuchh logo k man mein yeh sawal aa sakta hai ki hum blogging kyon Kare ya hum apna blog kyon banaye to main unse kehna chahuga ki hum apna blog kyon na banaye jabki blog k dwara hum apne thoughts ko world ke samne rakh sakte hain blog se hum ghar baithe money earn Kar sakte hain aur apni family ka kharch utha sakte hain

Hame kisi company mein job ke liye mare mare firne ki zarurat nhi hai aur itna hi nhi blog se earning karke hum apna bank balance bana sakte hai India mein aaj aise log mojud hai jo bloging se monthly lakho ki earning kar rahe hain




Hum apna blog kaise shuru kare


Agar blogging shuru karne ke liye completely ready ho gaye hain to apke samne blog shuru karne ke liye do option hote hain


1-   Free Blog


2-   Paid Blog


Paid blog WordPress plateform par banaya jata hai yaha yeh baat dhyan done kabil hai ki WordPress bhi do hain


1-  wordpress.com


2-  wirdpress.org


wordpress.com par aap free blog start kar sakte ho lekin wordpress.org par aap free blog start nhi kar sakte ho wordpress.org world ka mana hua palateform hai wordpress.org par blog banane k liye sabse pehle Kisi domain provide karne wali compni se domain name kharidna hota hai Iske baad kisi hosting sale karne wali company se hosting buy karni hoti hai hosting aur domain name ko connect karne ke baad aap apni hosting par WordPress install karna hota hai


Ab hum apne topic par aate hai aur Blogger.com par free blog banane ki
step by step parkirya shuru karte hain but blog banane se pehle hame yeh bhi jaan lena chahiye ki blog banane ke liye kin kin chizo ki zarurat hai


Blog banane se pehle hamare paas kya kya hona chahiye 


Ab main aapko un chizo ke bare mein bata hun jo blogging start karne ke liye hame chahiye hoti hain 


1-  Time and Effort 


Blogging start karne se pehle apko apne aap se puchhna chahiye ki tum blogging kyon shuru Karna chahte ho yadi aapka uddeshye sirf paisa kamana hai to blogging is not the best for you internet par online paisa kamane ke sekdo ways hain blogging unme se adhik hard work hai blogging mein success hone ke liye time aur lagatar paryas zaruri hai


2-  Basic seo ki jankari 


Every blogger ko search engine optimization (seo) ki basic knowledge honi chahiye SEO ek process hai jiska paryog karke hum apni website ya blog par organic traffic increase kar sakte hain means SEO ek aisi technique hai jiska use karne se blog ya website par visitors ki sankhya barh jati hai


3-  Long and rich Content 


Blog post ka content long hona chahiye agar aap apne blog se earning karna chahte ho
to rich content likho pura content Kisi ek topic par focussed hona chahiye Long article likhiye aapki post mein 1000+ words hone chahiye 


4-   Images 


Post mein images ka use Karna better hai kehte hai ki ek image 1000 words ka kaam karti hai but dhyan rahe ki image kam dale mera matlab hai jaha image ki zarurat ho vahi image ka use kiya jana chahiye yaha par mein suggest karna chahuga ki start mein 2--3 paragraph tak images ka use na kiya jaye to better hai 


Blogspot par free blog kaise banate hain 


Dear friends blog create karna bahut aasaan hai aap 5-10 minut me apna ek blog badi saralta se create kar sakte hain iske liye aapko niche likhe kuch steps follow Karne honge.


Step-1


Chrom ya kisi aur browser ke search box me Blogger.com type karke search kijiye ek aisi window open ho jaayegi jaisa niche screenshot dikhaya gaya hai CREATE YOUR BLOG par click kar dijiye


CREATE YOUR BLOG par click karte hi next page open ho jayega yaha par aapse apka Email ID manga jayega yaha par aapko apna gmail id dalna hai agar apke paas apna gmail id nhi hai to hamari yeh post Gmail ID kaise banate hain read kijiye aur apna gmail id bana lijiye box mein gmail id type karne ke baad next button par click kar dijiye


Ab next page open hoga yaha par apna password type kijiye aur next button par click kar dijiye


Step-  2




Password dalkar next button par click karte hi next page open ho jayega yaha par apne blog ka ek achha sa title choose karna hai Address ke samne wale box mein ek unique URL dalna hoga Iske baad theme choose karne ke baad create blog par click kar dijiye 


     


Title:


upar dikhai gaee image ke anusar Title ke saamne wale box me blog ka title daliye.Title jitna short aur saral hoga utna hi better hai.


Address :  


Address ke saamne wale box me apne blog ka URL dalye URL bilkul unique hona chaahiye. URL dalne par yadi This blog address is available likha hua aataa hai to smajh lijiye is naam se aapke blog ka URL ban jaayega aur yadi URL daalne par this blog address is not available likha hua aata hai to samjh kijiye is naam se pehle hi kisi ne blog banaya hua hai ab aapko apne blog ka koi dusra URL choose karna hoga


Theme(template) :


Is option me kaee Prakar ki them di gaee hain aap apni pasand se koi ek them choose kar sakte hain. Shuru me aap simple theme choose kar sakte hain baad me use easily change kiya ja sakta hai.     

               
Ab Create blog par click kijiye chand seconds ki processing ke baad aapka blog bankar tyyar hai. Create blog par click karne ke baad aap apne blog ke dashboard par paunch jaayenge. Dashboard ka screenshot dekhye


   Step- 3



Dashboard me pahunchkar new post par click kijiye aur jis topic par aap likhna chaahte hain jis topic ki jaankaari aap dusron tak pahunchana chaahte hain ya saare world me share karna chaahte hain us topic par likhye aur Publish kijiye
Is parkar aap free blog ya website bana sakte hain aur free blog banakar earning ki shuruaat kar sakte hain


Ummid  hai free blog create karne ki yeh jaankaari aapko pasand aayi hogi agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain


                                           

Related Post 

Blog ko search console webmaster tool me kaise submit Kare