Blogspot par free blog kaise banate hain full guidance




Blogspot par new blog banana bahut aasan hai aap 5 se 10 minute mein create kar sakte hain aur voh my dear friends agar aap blogspot par new blog banane ka irada kar rahe hain to definitely yeh post aapke liye hai is post me main aapko new blog create karne ki jaankaari dene jaa raha hun. A

Aaj world me bahut saare log internet se ghar baithe earning kar rahe hain Internet se paisa kamane ke bahut ways hain. Bahut saare raaste hain jinme blogging bhi paisa kamane ka ek achchha way hai. But new blog create karne se pehle yeh jaan lena zaruri hai ki blog hota kya hai 



What is blog


Blog ya website create karne ka tarika batane se pehle main aapko batana chaahunga ki blog hota kya hai? Yeh word "BLOG" word "WEBLOG" se liya gaya hai. Yeh ek regular update ki  Jane wali website ya webpage hota hai jise koi ek vyakti ya koi small group run karta hai. Blog informal ya conversational style me likha jata hai.


 Moreover blog veh Sthan hai jahan aap apne thoughts, openions and experiences ko regular share karte hain. Blog is the place where you can express yourself to whole world. आज के इस दौर में ब्लौग earning करने का एक behtarin माध्यम है |


Blogging kyon karni chahiye 


Kuchh logo k man mein yeh sawal aa sakta hai ki hum blogging kyon Kare ya hum apna blog kyon banaye to main unse kehna chahuga ki hum apna blog kyon na banaye jabki blog k dwara hum apne thoughts ko world ke samne rakh sakte hain blog se hum ghar baithe money earn Kar sakte hain aur apni family ka kharch utha sakte hain

Hame kisi company mein job ke liye mare mare firne ki zarurat nhi hai aur itna hi nhi blog se earning karke hum apna bank balance bana sakte hai India mein aaj aise log mojud hai jo bloging se monthly lakho ki earning kar rahe hain




Hum apna blog kaise shuru kare


Agar blogging shuru karne ke liye completely ready ho gaye hain to apke samne blog shuru karne ke liye do option hote hain


1-   Free Blog


2-   Paid Blog


Paid blog WordPress plateform par banaya jata hai yaha yeh baat dhyan done kabil hai ki WordPress bhi do hain


1-  wordpress.com


2-  wirdpress.org


wordpress.com par aap free blog start kar sakte ho lekin wordpress.org par aap free blog start nhi kar sakte ho wordpress.org world ka mana hua palateform hai wordpress.org par blog banane k liye sabse pehle Kisi domain provide karne wali compni se domain name kharidna hota hai Iske baad kisi hosting sale karne wali company se hosting buy karni hoti hai hosting aur domain name ko connect karne ke baad aap apni hosting par WordPress install karna hota hai


Ab hum apne topic par aate hai aur Blogger.com par free blog banane ki
step by step parkirya shuru karte hain but blog banane se pehle hame yeh bhi jaan lena chahiye ki blog banane ke liye kin kin chizo ki zarurat hai


Blog banane se pehle hamare paas kya kya hona chahiye 


Ab main aapko un chizo ke bare mein bata hun jo blogging start karne ke liye hame chahiye hoti hain 


1-  Time and Effort 


Blogging start karne se pehle apko apne aap se puchhna chahiye ki tum blogging kyon shuru Karna chahte ho yadi aapka uddeshye sirf paisa kamana hai to blogging is not the best for you internet par online paisa kamane ke sekdo ways hain blogging unme se adhik hard work hai blogging mein success hone ke liye time aur lagatar paryas zaruri hai


2-  Basic seo ki jankari 


Every blogger ko search engine optimization (seo) ki basic knowledge honi chahiye SEO ek process hai jiska paryog karke hum apni website ya blog par organic traffic increase kar sakte hain means SEO ek aisi technique hai jiska use karne se blog ya website par visitors ki sankhya barh jati hai


3-  Long and rich Content 


Blog post ka content long hona chahiye agar aap apne blog se earning karna chahte ho
to rich content likho pura content Kisi ek topic par focussed hona chahiye Long article likhiye aapki post mein 1000+ words hone chahiye 


4-   Images 


Post mein images ka use Karna better hai kehte hai ki ek image 1000 words ka kaam karti hai but dhyan rahe ki image kam dale mera matlab hai jaha image ki zarurat ho vahi image ka use kiya jana chahiye yaha par mein suggest karna chahuga ki start mein 2--3 paragraph tak images ka use na kiya jaye to better hai 


Blogspot par free blog kaise banate hain 


Dear friends blog create karna bahut aasaan hai aap 5-10 minut me apna ek blog badi saralta se create kar sakte hain iske liye aapko niche likhe kuch steps follow Karne honge.


Step-1


Chrom ya kisi aur browser ke search box me Blogger.com type karke search kijiye ek aisi window open ho jaayegi jaisa niche screenshot dikhaya gaya hai CREATE YOUR BLOG par click kar dijiye


CREATE YOUR BLOG par click karte hi next page open ho jayega yaha par aapse apka Email ID manga jayega yaha par aapko apna gmail id dalna hai agar apke paas apna gmail id nhi hai to hamari yeh post Gmail ID kaise banate hain read kijiye aur apna gmail id bana lijiye box mein gmail id type karne ke baad next button par click kar dijiye


Ab next page open hoga yaha par apna password type kijiye aur next button par click kar dijiye


Step-  2




Password dalkar next button par click karte hi next page open ho jayega yaha par apne blog ka ek achha sa title choose karna hai Address ke samne wale box mein ek unique URL dalna hoga Iske baad theme choose karne ke baad create blog par click kar dijiye 


     


Title:


upar dikhai gaee image ke anusar Title ke saamne wale box me blog ka title daliye.Title jitna short aur saral hoga utna hi better hai.


Address :  


Address ke saamne wale box me apne blog ka URL dalye URL bilkul unique hona chaahiye. URL dalne par yadi This blog address is available likha hua aataa hai to smajh lijiye is naam se aapke blog ka URL ban jaayega aur yadi URL daalne par this blog address is not available likha hua aata hai to samjh kijiye is naam se pehle hi kisi ne blog banaya hua hai ab aapko apne blog ka koi dusra URL choose karna hoga


Theme(template) :


Is option me kaee Prakar ki them di gaee hain aap apni pasand se koi ek them choose kar sakte hain. Shuru me aap simple theme choose kar sakte hain baad me use easily change kiya ja sakta hai.     

               
Ab Create blog par click kijiye chand seconds ki processing ke baad aapka blog bankar tyyar hai. Create blog par click karne ke baad aap apne blog ke dashboard par paunch jaayenge. Dashboard ka screenshot dekhye


   Step- 3



Dashboard me pahunchkar new post par click kijiye aur jis topic par aap likhna chaahte hain jis topic ki jaankaari aap dusron tak pahunchana chaahte hain ya saare world me share karna chaahte hain us topic par likhye aur Publish kijiye
Is parkar aap free blog ya website bana sakte hain aur free blog banakar earning ki shuruaat kar sakte hain


Ummid  hai free blog create karne ki yeh jaankaari aapko pasand aayi hogi agar is post se related koi question aap puchhna chaahte hain to comment karke puchh sakte hain


                                           

Related Post 

Blog ko search console webmaster tool me kaise submit Kare 



12 comments:

Please अपने नाम से ही comment करें browser में अपनी ID से sign in करें इसके बाद comment करें ।